Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghuTan azab-e-badan ki na meri jaan mein la

Akbar Hyderabadi

ghuTan azab-e-badan ki na meri jaan mein la

Akbar Hyderabadi

ghuTan azāb-e-badan na merī jaan meñ

badal ke ghar mirā mujh ko mire makān meñ

mirī ikaa.ī ko iz.hār vasīla de

mirī nazar ko mire dil ko imtihān meñ

saḳhī hai vo to saḳhāvat laaj rakh legā

savāl arz-e-talab na darmiyān meñ

dil-e-vajūd ko jo chiir kar guzar jaa.e

ik aisā tiir apnī kaḌī kamān meñ

hai vo to hadd-e-giraft-e-ḳhayāl se bhī pare

ye soch kar ḳhayāl us apne dhyān meñ

badan tamām usī sadā se guuñj uThe

talātum aisā koī aaj merī jaan meñ

charāġh-e-rāhguzar laakh tābnāk sahī

jalā ke apnā diyā raushnī makān meñ

ba-rañg-e-ḳhvāb sahī saarī kā.enāt 'akbar'

vajūd-e-kul ko na andesha-e-gumān meñ

ghuTan azab-e-badan ki na meri jaan mein la

badal ke ghar mera mujh ko mere makan mein la

meri ikai ko izhaar ka wasila de

meri nazar ko mere dil ko imtihan mein la

saKHi hai wo to saKHawat ki laj rakh lega

sawal arz-e-talab ka na darmiyan mein la

dil-e-wajud ko jo chir kar guzar jae

ek aisa tir tu apni kaDi kaman mein la

hai wo to hadd-e-giraft-e-KHayal se bhi pare

ye soch kar hi KHayal us ka apne dhyan mein la

badan tamam usi ki sada se gunj uThe

talatum aisa koi aaj meri jaan mein la

charagh-e-rahguzar lakh tabnak sahi

jala ke apna diya raushni makan mein la

ba-rang-e-KHwab sahi sari kaenat 'akbar'

wajud-e-kul ko na andesha-e-guman mein la

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

ghuTan azab-e-badan ki na meri jaan mein la Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now