Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gham se mansub karun dard ka rishta de dun

Ali Ahmad Jalili

gham se mansub karun dard ka rishta de dun

Ali Ahmad Jalili

ġham se mansūb karūñ dard rishta de duuñ

zindagī aa tujhe jiine salīqa de duuñ

be-charāgī ye tirī shām-e-ġharībāñ kab tak

chal tujhe jalte makānoñ ujālā de duuñ

zindagī ab to yahī shakl hai samjhaute

duur haT jā.ūñ tirī raah se rastā de duuñ

tishnagī tujh ko bujhānā mujhe manzūr nahīñ

varna qatre hai kyā baat maiñ dariyā de duuñ

hai añgḌā.ī to phir haath uThā kar rakhiye

Thahariye maiñ use lafzoñ labāda de duuñ

ai mire fan tujhe takmīl ko pahuñchānā hai

aa tujhe ḳhuun maiñ āḳhirī qatra de duuñ

sūraj aa jaa.e kisī din jo mere haath 'alī'

ghoñT duuñ raat dam sab ko ujālā de duuñ

gham se mansub karun dard ka rishta de dun

zindagi aa tujhe jine ka saliqa de dun

be-charagi ye teri sham-e-ghariban kab tak

chal tujhe jalte makanon ka ujala de dun

zindagi ab to yahi shakl hai samjhaute ki

dur haT jaun teri rah se rasta de dun

tishnagi tujh ko bujhana mujhe manzur nahin

warna qatre ki hai kya baat main dariya de dun

li hai angDai to phir hath uTha kar rakhiye

Thahariye main use lafzon ka labaada de dun

ai mere fan tujhe takmil ko pahunchana hai

aa tujhe KHun ka main aaKHiri qatra de dun

suraj aa jae kisi din jo mere hath 'ali'

ghonT dun raat ka dam sab ko ujala de dun

Source :
  • Book : Mujalla Dastavez (Pg. 239)
  • Author : Aziz Nabeel
  • Publication : Edarah Dastavez (2010)
  • Edition : 2010
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now