Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gham nahin mujhko jo waqt-e-imtihan mara gaya

Imdad Imam Asar

gham nahin mujhko jo waqt-e-imtihan mara gaya

Imdad Imam Asar

ġham nahīñ mujh ko jo vaqt-e-imtihāñ maarā gayā

ḳhush huuñ tere haath se ai jān-e-jāñ maarā gayā

teġh-e-abrū se dil-e-āshiq ko miltī kyā panāh

jo chaḌhā muñh par ajal ke be-gumāñ maarā gayā

manzil-e-mā'shūq tak pahuñchā salāmat kab koī

rahzanoñ se kārvāñ kārvāñ maarā gayā

dostī tum ne dushman se 'ajab tum dost ho

maiñ tumhārī dostī meñ mehrbāñ maarā gayā

zahr se kuchh kam na thī dā'vat mirī ġhairoñ ke saath

kyā ġhazab hai ghar balā kar mehmāñ maarā gayā

dasht-e-ġhurbat ranj-e-tanhā.ī hujūm-e-dard-o-yās

in balāoñ meñ tirā 'āshiq kahāñ maarā gayā

kyā halāk-e-ishq tere gesuoñ thā 'asar'

sumbulistāñ ho gayā hai do-jahāñ maarā gayā

gham nahin mujh ko jo waqt-e-imtihan mara gaya

KHush hun tere hath se ai jaan-e-jaan mara gaya

tegh-e-abru se dil-e-ashiq ko milti kya panah

jo chaDha munh par ajal ke be-guman mara gaya

manzil-e-ma'shuq tak pahuncha salamat kab koi

rahzanon se karwan ka karwan mara gaya

dosti ki tum ne dushman se 'ajab tum dost ho

main tumhaari dosti mein mehrban mara gaya

zahr se kuchh kam na thi da'wat meri ghairon ke sath

kya ghazab hai ghar bala kar mehman mara gaya

dasht-e-ghurbat ranj-e-tanhai hujum-e-dard-o-yas

in balaon mein tera 'ashiq kahan mara gaya

kya halak-e-ishq tere gesuon ka tha 'asar'

sumbulistan ho gaya hai do-jahan mara gaya

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now