Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gham-e-dil hita-e-tahrir mein aata hi nahin

Shakeb Jalali

gham-e-dil hita-e-tahrir mein aata hi nahin

Shakeb Jalali

ġham-e-dil hīta-e-tahrīr meñ aatā nahīñ

jo kināroñ meñ simaT jaa.e vo dariyā nahīñ

os būñdoñ meñ bikhrā huā manzar jaise

sab is daur meñ ye haal hai merā nahīñ

barq kyuuñ un ko jalāne pe kamar-basta hai

maiñ to chhāñv meñ kisī peḌ baiThā nahīñ

ik kiran thaam ke maiñ dhūp-nagar tak pahuñchā

kaun arsh hai jis koī ziina nahīñ

koī bhūlā huā chehra nazar aa.e shāyad

aa.ina ġhaur se ne kabhī dekhā nahīñ

bojh lamhoñ har ik sar pe uThā.e guzrā

koī is shahr meñ sustāne ko Thahrā nahīñ

saaya kyuuñ jal ke huā ḳhaak tujhe kyā mā'lūm

kabhī aag ke dariyāoñ meñ utrā nahīñ

motī kyā kyā na pare haiñ tah-e-dariyā lekin

barf lahroñ koī toḌne vaalā nahīñ

is ke pardoñ pe munaqqash tirī āvāz bhī hai

ḳhāna-e-dil meñ faqat terā sarāpā nahīñ

hā.il-e-rāh the kitne havā ke parbat

to vo bādal ki mire shahr se guzrā nahīñ

yaad ke dā.ere kyuuñ phailte jaate haiñ 'shakeb'

us ne tālāb meñ kankar abhī pheñkā nahīñ

gham-e-dil hita-e-tahrir mein aata hi nahin

jo kinaron mein simaT jae wo dariya hi nahin

os ki bundon mein bikhra hua manzar jaise

sab ka is daur mein ye haal hai mera hi nahin

barq kyun un ko jalane pe kamar-basta hai

main to chhanw mein kisi peD ki baiTha hi nahin

ek kiran tham ke main dhup-nagar tak pahuncha

kaun sa arsh hai jis ka koi zina hi nahin

koi bhula hua chehra nazar aae shayad

aaina ghaur se tu ne kabhi dekha hi nahin

bojh lamhon ka har ek sar pe uThae guzra

koi is shahr mein sustane ko Thahra hi nahin

saya kyun jal ke hua KHak tujhe kya ma'lum

tu kabhi aag ke dariyaon mein utra hi nahin

moti kya kya na pare hain tah-e-dariya lekin

barf lahron ki koi toDne wala hi nahin

is ke pardon pe munaqqash teri aawaz bhi hai

KHana-e-dil mein faqat tera sarapa hi nahin

hail-e-rah the kitne hi hawa ke parbat

to wo baadal ki mere shahr se guzra hi nahin

yaad ke daere kyun phailte jate hain 'shakeb'

us ne talab mein kankar abhi phenka hi nahin

Source :
  • Book : Kulliyat Shakeb Jamali (Pg. 125)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now