Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

galiyan jhakin saDken chhanin dil ki wahshat kam na hui

Sajjad Baqar Rizvi

galiyan jhakin saDken chhanin dil ki wahshat kam na hui

Sajjad Baqar Rizvi

galiyāñ jhākīñ saḌkeñ chhānīñ dil vahshat kam na huī

aañkh se kitnā laavā ublā tan hiddat kam na huī

Dhab se pyaar kiyā hai ham ne us ke naam pe chup na hue

shahr ke izzat-dāroñ meñ kuchh apnī izzat kam na huī

man dhan sab qurbān kiyā ab sar saudā baaqī hai

ham to bike the aune-paune pyaar qīmat kam na huī

jin ne ujāḌī dil khetī un zamīneñ ḳhatm huiiñ

ham to ra.iis the shahr-e-vafā ke apnī riyāsat kam na huī

ab bhī itnā tar-o-tāza hai jaise avval din ho

vaah re apnī kāvish-e-nāḳhun zaḳhm lazzat kam na huī

bāqar' ko tum ḳhuub samajh lo ranjish hai ye dikhāve

yuuñ tum se be-zār phire hai dil se chāhat kam na huī

galiyan jhakin saDken chhanin dil ki wahshat kam na hui

aankh se kitna lawa ubla tan ki hiddat kam na hui

Dhab se pyar kiya hai hum ne us ke nam pe chup na hue

shahr ke izzat-daron mein kuchh apni izzat kam na hui

man dhan sab qurban kiya ab sar ka sauda baqi hai

hum to bike the aune-paune pyar ki qimat kam na hui

jin ne ujaDi dil ki kheti un ki zaminen KHatm huin

hum to rais the shahr-e-wafa ke apni riyasat kam na hui

ab bhi itna tar-o-taza hai jaise awwal din ka ho

wah re apni kawish-e-naKHun zaKHm ki lazzat kam na hui

baqar' ko tum KHub samajh lo ranjish hai ye dikhawe ki

yun tum se be-zar phire hai dil se chahat kam na hui

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now