Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghaib se sahra-nawardon ka mudawa ho gaya

Munshi Amirullah Tasleem

ghaib se sahra-nawardon ka mudawa ho gaya

Munshi Amirullah Tasleem

ġhaib se sahra-navardoñ mudāvā ho gayā

dāman-e-dasht-e-junūñ zaḳhmoñ phāhā ho gayā

maut aa.ī ga.e chhuT kar ġham-o-andoh se

ye nayā marnā hai jis naam jiinā ho gayā

ḳhud ko bhī dekhā na āñkheñ khol kar misl-e-habāb

bahr-e-hastī meñ faqat dam damāma ho gayā

ye zamāna vo nahīñ muñh se nikāle haq koī

yaad kar mansūr par kyā hashr barpā ho gayā

sūrateñ kyā kyā na badlīñ mere soz-e-ishq ne

ashk āñkhoñ meñ banā hoñToñ pe chhālā ho gayā

naaz se chhātī par us ne paañv jis dam rakh diyā

dil huā ThanDā kaleja haath bhar ho gayā

ham ne paalā muddatoñ pahlū meñ ham koī nahīñ

tum ne dekhā ik nazar se dil tumhārā ho gayā

kahne ko majzūb ham haiñ dil meñ goyā aur hai

nek-o-bad jo kuchh hamāre muñh se niklā ho gayā

jab se ai 'taslīm' hai bai.at-e-dast-e-subū

diin sāġhar ho gayā īmān miinā ho gayā

ghaib se sahra-nawardon ka mudawa ho gaya

daman-e-dasht-e-junun zaKHmon ka phaha ho gaya

maut aai ji gae chhuT kar gham-o-andoh se

ye naya marna hai jis ka nam jina ho gaya

KHud ko bhi dekha na aankhen khol kar misl-e-habab

bahr-e-hasti mein faqat dam ka damama ho gaya

ye zamana wo nahin munh se nikale haq koi

yaad kar mansur par kya hashr barpa ho gaya

suraten kya kya na badlin mere soz-e-ishq ne

ashk aankhon mein bana honTon pe chhaala ho gaya

naz se chhati par us ne panw jis dam rakh diya

dil hua ThanDa kaleja hath bhar ka ho gaya

hum ne pala muddaton pahlu mein hum koi nahin

tum ne dekha ek nazar se dil tumhaara ho gaya

kahne ko majzub hum hain dil mein goya aur hai

nek-o-bad jo kuchh hamare munh se nikla ho gaya

jab se ai 'taslim' ki hai baiat-e-dast-e-subu

din saghar ho gaya iman mina ho gaya

Source :
  • Book : Ghazal Usne Chhedi(3) (Pg. 168)
  • Author : Farhat Ehsas
  • Publication : Rekhta Books (2017)
  • Edition : 2017
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now