Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek qatra ashk ka chhalka to dariya kar diya

Adil Mansuri

ek qatra ashk ka chhalka to dariya kar diya

Adil Mansuri

ek qatra ashk chhalkā to dariyā kar diyā

ek musht-e-ḳhāk jo bikhrī to sahrā kar diyā

mere TuuTe hausle ke par nikalte dekh kar

us ne dīvāroñ ko apnī aur ūñchā kar diyā

vārdāt-e-qalb likkhī ham ne farzī naam se

aur hāthoñ-hāth us ko ḳhud le kar diyā

us nārāzī sūraj jab savā neze pe thā

apne harf-e-ijz ne sar pe saaya kar diyā

duniyā bhar ḳhaak koī chhāntā phirtā hai ab

aap ne dar se uThā kar kaisā rusvā kar diyā

ab na koī ḳhauf dil meñ aur na āñkhoñ meñ umiid

ne marg-e-nā-gahāñ bīmār achchhā kar diyā

bhuul ye kal tire naqsh-e-qadam the chāñd par

dekh un hāthoñ ko kis ne aaj kaasa kar diyā

ham to kahne rahe the hamza-e-ye vassalām

biich meñ us ne achānak nūn-ġhunna kar diyā

ham ko gaalī ke liye bhī lab hilā sakte nahīñ

ġhair ko bosa diyā to muñh se dikhlā kar diyā

tīrgī bhī koī had hotī hai āḳhir miyāñ

surḳh parcham ko jalā kar ujālā kar diyā

bazm meñ ahl-e-suḳhan taqtī.a farmāte rahe

aur ham ne apne dil bojh halkā kar diyā

jaane kis ke muntazir baiThe haiñ jhāḌū pher kar

dil se har ḳhvāhish ko 'ādil' ham ne chaltā kar diyā

ek qatra ashk ka chhalka to dariya kar diya

ek musht-e-KHak jo bikhri to sahra kar diya

mere TuTe hausle ke par nikalte dekh kar

us ne diwaron ko apni aur uncha kar diya

wardat-e-qalb likkhi hum ne farzi nam se

aur hathon-hath us ko KHud hi le ja kar diya

us ki naraazi ka suraj jab sawa neze pe tha

apne harf-e-ijz hi ne sar pe saya kar diya

duniya bhar ki KHak koi chhanta phirta hai ab

aap ne dar se uTha kar kaisa ruswa kar diya

ab na koi KHauf dil mein aur na aankhon mein umid

tu ne marg-e-na-gahan bimar achchha kar diya

bhul ja ye kal tere naqsh-e-qadam the chand par

dekh un hathon ko kis ne aaj kasa kar diya

hum to kahne ja rahe the hamza-e-ye wassalam

bich mein us ne achanak nun-ghunna kar diya

hum ko gali ke liye bhi lab hila sakte nahin

ghair ko bosa diya to munh se dikhla kar diya

tirgi ki bhi koi had hoti hai aaKHir miyan

surKH parcham ko jala kar hi ujala kar diya

bazm mein ahl-e-suKHan taqtia farmate rahe

aur hum ne apne dil ka bojh halka kar diya

jaane kis ke muntazir baiThe hain jhaDu pher kar

dil se har KHwahish ko 'adil' hum ne chalta kar diya

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now