Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Duba hua hun dard ki gahraiyon mein bhi

Jameel Malik

Duba hua hun dard ki gahraiyon mein bhi

Jameel Malik

Duubā huā huuñ dard gahrā.iyoñ meñ bhī

maiñ ḳhanda-zan huuñ khokhlī dānā.iyoñ meñ bhī

uryāñ hai saarā shahr chalī yuuñ havas lahar

tujh ko chhupā rahā huuñ maiñ tanhā.iyoñ meñ bhī

kaise the log jin zabānoñ meñ nuur thā

ab to tamām jhuuT hai sachchā.iyoñ meñ bhī

ab nek-nāmiyoñ meñ bhī koī mazā nahīñ

pahle to ek lutf thā rusvā.iyoñ meñ bhī

vo dauḌ hai kisī ko kisī ḳhabar nahīñ

ab kitnī ġhairiyat hai shanāsā.iyoñ meñ bhī

rañgīn sā.atoñ meñ kahāñ vo malāhateñ

parchhā.iyoñ jaal hai ra.anā.iyoñ meñ bhī

ham jin ke vāste the tamāshā bane hue

dekhā to vo nahīñ the tamāshā.iyoñ meñ bhī

maiñ thā vo jo apne teshe se mar gayā

thā shahr-e-jabr ke balvā.i.oñ meñ bhī

kyā daur hai ki jis meñ sadā bhī sukūt hai

tanhā.iyāñ haiñ anjuman-ārā.iyoñ meñ bhī

vo pyaar do ki jis chamak maañd na ho

hotā hai ye ḳhulūs to harjā.iyoñ meñ bhī

saaz o sadā ke shor meñ gum ho gayā 'jamīl'

kis kis ke dil dard thā shahnā.iyoñ meñ bhī

Duba hua hun dard ki gahraiyon mein bhi

main KHanda-zan hun khokhli danaiyon mein bhi

uryan hai sara shahr chali yun hawas ki lahar

tujh ko chhupa raha hun main tanhaiyon mein bhi

kaise the log jin ki zabanon mein nur tha

ab to tamam jhuT hai sachchaiyon mein bhi

ab nek-namiyon mein bhi koi maza nahin

pahle to ek lutf tha ruswaiyon mein bhi

wo dauD hai kisi ko kisi ki KHabar nahin

ab kitni ghairiyat hai shanasaiyon mein bhi

rangin saaton mein kahan wo malahaten

parchhaiyon ka jal hai ranaiyon mein bhi

hum jin ke waste the tamasha bane hue

dekha to wo nahin the tamashaiyon mein bhi

main hi tha wo jo apne hi teshe se mar gaya

hi hi tha shahr-e-jabr ke balwaion mein bhi

kya daur hai ki jis mein sada bhi sukut hai

tanhaiyan hain anjuman-araiyon mein bhi

wo pyar do ki jis ki chamak mand hi na ho

hota hai ye KHulus to harjaiyon mein bhi

saz o sada ke shor mein gum ho gaya 'jamil'

kis kis ke dil ka dard tha shahnaiyon mein bhi

Source :
  • Book : naquush (Pg. 252)
  • Edition : 1979
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now