Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dushman-e-jaan koi bana hi nahin

Baqar Mehdi

dushman-e-jaan koi bana hi nahin

Baqar Mehdi

dushman-e-jāñ koī banā nahīñ

itne ham lā.iq-e-jafā nahīñ

aazmā lo ki dil ko chain aa.e

ye na kahnā kahīñ vafā nahīñ

ham pashīmāñ haiñ vo bhī hairāñ haiñ

aisā tūfāñ kabhī uThā nahīñ

jaane kyuuñ un se milte rahte haiñ

ḳhush vo kyā hoñge jab ḳhafā nahīñ

tum ne ik dāstāñ banā Daalī

ham ne to rāz-e-ġham kahā nahīñ

ġham-gusār is tarah se milte haiñ

jaise duniyā meñ kuchh huā nahīñ

ai junūñ kaun ye manzil hai

kyā kareñ kuchh hameñ patā nahīñ

maut ke din qarīb aa pahuñche

haa.e ham ne to kuchh kiyā nahīñ

dushman-e-jaan koi bana hi nahin

itne hum laiq-e-jafa hi nahin

aazma lo ki dil ko chain aae

ye na kahna kahin wafa hi nahin

hum pashiman hain wo bhi hairan hain

aisa tufan kabhi uTha hi nahin

jaane kyun un se milte rahte hain

KHush wo kya honge jab KHafa hi nahin

tum ne ek dastan bana Dali

hum ne to raaz-e-gham kaha hi nahin

gham-gusar is tarah se milte hain

jaise duniya mein kuchh hua hi nahin

ai junun kaun si ye manzil hai

kya karen kuchh hamein pata hi nahin

maut ke din qarib aa pahunche

hae hum ne to kuchh kiya hi nahin

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

dushman-e-jaan koi bana hi nahin Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now