Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Dora nahin hai surme ka chashm-e-siyah mein

Asad Ali Khan Qalaq

Dora nahin hai surme ka chashm-e-siyah mein

Asad Ali Khan Qalaq

Dorā nahīñ hai surme chashm-e-siyāh meñ

baanā paḌā hai yaar ke pā-e-nigāh meñ

har-dam jo maiñ khaTaktā huuñ un nigāh meñ

mānind-e-ḳhār uThte haiñ aġhyār raah meñ

ghar us ke dil meñ kar ke ga.ī muft apnī jaan

kashtī hamārī Duub ga.ī aa ke thaah meñ

har-dam vo silk-e-gauhar-e-vīrān huuñ ghūrtā

motī piro rahā huuñ maiñ tār-e-nigāh meñ

miltā nahīñ hai manzil-e-maqsad rāhbar

rahzan se ho kaash mulāqāt raah meñ

aane un ke koī muqarrar nahīñ hai din

aa nikle ek baar kahīñ saal o maah meñ

chhīnā galī meñ apne hasīnoñ ne naqd-e-dil

luuTā hai rahzanoñ ne musāfir ko raah meñ

kartī hai qatl bāñkī adā us ḳhalq ko

paTThā lagā hai teġh terī kulāh meñ

laḌte us se aañkh fanā the habāb-vār

bahr-e-qazā ghaaT hai teġh-e-nigāh meñ

dil aa gayā zaqan pe tirī yak-ba-yak mirā

girtā hai koī dīda-o-dānista chaah meñ

ḳhush-chashm vo hai ki ġhazālān-e-hind-o-chī

aage tire samāte nahīñ haiñ nigāh meñ

hai shor āmad-āmad qātil jo dair se

hañgāma jāñ-nisāroñ hai qatl-gāh meñ

kyā tum ko ḳhat-e-zīst hai itnā to pūchhtā

hotī agar ḳhizr se mulāqāt raah meñ

ai sarv-e-qad gayā huuñ pai-e-sair-e-bāġh jab

lipTā huuñ shajar se tire ishtibāh meñ

ḳhurshīd-o-māh bhī jhapaktī hai aksar aañkh

zarroñ vo chamak hai tirī gard-e-rāh meñ

aanā hai o shikār-e-fagan gar tujhe to aa

ummīd-vār said haiñ naḳhchīr-gāh meñ

sindūr us maañg meñ detā hai yuuñ bahār

jaise dhanak nikaltī hai abr-e-siyāh meñ

ġhaflat ye hai kisī ko nahīñ qabr ḳhayāl

koī hai fikr-e-nāñ meñ koī fikr-e-jāh meñ

kahte haiñ dekhte haiñ mubassir agar use

ye jins-e-be-bahā hai hamāre nigāh meñ

kyā duuñ maiñ us ke chehra-e-pur-nūr se misāl

dhabbā lagā huā hai baḌā rū-e-māh meñ

tirchhī nazar se us ne jo dekhā yaqīñ huā

bal paḌ gayā hai yaar teġh-e-nigāh meñ

aġhyār muñh chhupā.eñge ham se kahāñ talak

hogī kabhī to ham se mulāqāt raah meñ

fariyād ras ke pahūñchī na fariyād kaan tak

armān rah gayā ye dil-e-dād-ḳhvāh meñ

manzil hai apnī apnī 'qalaq' apnī apnī gor

koī nahīñ sharīk kisī ke gunāh meñ

Dora nahin hai surme ka chashm-e-siyah mein

bana paDa hai yar ke pa-e-nigah mein

har-dam jo main khaTakta hun un ki nigah mein

manind-e-KHar uThte hain aghyar rah mein

ghar us ke dil mein kar ke gai muft apni jaan

kashti hamari Dub gai aa ke thah mein

har-dam wo silk-e-gauhar-e-viran hun ghurta

moti piro raha hun main tar-e-nigah mein

milta nahin hai manzil-e-maqsad ka rahbar

rahzan hi se ho kash mulaqat rah mein

aane ka un ke koi muqarrar nahin hai din

aa nikle ek bar kahin sal o mah mein

chhina gali mein apne hasinon ne naqd-e-dil

luTa hai rahzanon ne musafir ko rah mein

karti hai qatl banki ada us ki KHalq ko

paTTha laga hai tegh ka teri kulah mein

laDte hi us se aankh fana the habab-war

bahr-e-qaza ka ghaT hai tegh-e-nigah mein

dil aa gaya zaqan pe teri yak-ba-yak mera

girta hai koi dida-o-danista chah mein

KHush-chashm tu wo hai ki ghazalan-e-hind-o-chi

aage tere samate nahin hain nigah mein

hai shor aamad-amad qatil jo dair se

hangama jaan-nisaron ka hai qatl-gah mein

kya tum ko KHat-e-zist hai itna to puchhta

hoti agar KHizr se mulaqat rah mein

ai sarw-e-qad gaya hun pai-e-sair-e-bagh jab

lipTa hun shajar se tere ishtibah mein

KHurshid-o-mah ki bhi jhapakti hai aksar aankh

zarron ki wo chamak hai teri gard-e-rah mein

aana hai o shikar-e-fagan gar tujhe to aa

ummid-war said hain naKHchir-gah mein

sindur us ki mang mein deta hai yun bahaar

jaise dhanak nikalti hai abr-e-siyah mein

ghaflat ye hai kisi ko nahin qabr ka KHayal

koi hai fikr-e-nan mein koi fikr-e-jah mein

kahte hain dekhte hain mubassir agar use

ye jins-e-be-baha hai hamare nigah mein

kya dun main us ke chehra-e-pur-nur se misal

dhabba laga hua hai baDa ru-e-mah mein

tirchhi nazar se us ne jo dekha yaqin hua

bal paD gaya hai yar ki tegh-e-nigah mein

aghyar munh chhupaenge hum se kahan talak

hogi kabhi to hum se mulaqat rah mein

fariyaad ras ke pahunchi na fariyaad kan tak

arman rah gaya ye dil-e-dad-KHwah mein

manzil hai apni apni 'qalaq' apni apni gor

koi nahin sharik kisi ke gunah mein

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

Dora nahin hai surme ka chashm-e-siyah mein Nomaan Shauque

Source :
  • Mazhar-e-Ishq
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now