din ko kar-e-daraaz-e-dahr raha
din ko kār-e-darāz-e-dahr rahā
raat ḳhvāboñ kī vādiyoñ meñ kaTī
chāñd ḳhāmosh jā rahā thā kahīñ
ham ne bhī us se koī baat na kī
sā.at-e-dīd terī umr hī kyā
abhī aa.ī na thī ki biit ga.ī
barg-e-āvāra se koī pūchhe
bū-e-gul kis kī justujū meñ ga.ī
kis kā naġhma hai dil kī dhaḌkan meñ
kis kī āvāz-e-pā sukūt banī
din ko kar-e-daraaz-e-dahr raha
raat KHwabon ki wadiyon mein kaTi
chand KHamosh ja raha tha kahin
hum ne bhi us se koi baat na ki
saat-e-did teri umr hi kya
abhi aai na thi ki bit gai
barg-e-awara se koi puchhe
bu-e-gul kis ki justuju mein gai
kis ka naghma hai dil ki dhaDkan mein
kis ki aawaz-e-pa sukut bani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.