Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil pa ke uski zulf mein aaram rah gaya

Qayem Chaandpuri

dil pa ke uski zulf mein aaram rah gaya

Qayem Chaandpuri

dil ke us zulf meñ ārām rah gayā

darvesh jis jagah ki huī shaam rah gayā

jhagḌe meñ ham mabādī ke yaañ tak phañse ki aah

maqsūd thā jo apne ta.iiñ kaam rah gayā

nā-poḳhtagī apnī sabab us samar se pūchh

jaldī se bāġhbāñ vo jo ḳhaam rah gayā

sayyād to jaa, hai par us bhī kuchh ḳhabar

jo murġh-e-nā-tavāñ ki tah-e-dām rah gayā

qismat to dekh TuuTī hai kar kahāñ kamand

kuchh duur apne haath se jab baam rah gayā

māreñ haiñ ham nagīn-e-sulaimāñ ko pusht-e-dast

jab miT gayā nishān to go naam rah gayā

ne tujh pe vo bahār rahī aur na yaañ vo dil

kahne ko nek-o-bad ke ik ilzām rah gayā

mauqūf kuchh kamāl pe yaañ kām-e-dil nahīñ

mujh ko dekh lenā ki nākām rah gayā

'qā.em' ga.e sab us zabāñ se jo the rafīq

ik be-hayā maiñ khāne ko dushnām rah gayā

dil pa ke us ki zulf mein aaram rah gaya

darwesh jis jagah ki hui sham rah gaya

jhagDe mein hum mabaadi ke yan tak phanse ki aah

maqsud tha jo apne tain kaam rah gaya

na-poKHtagi ka apni sabab us samar se puchh

jaldi se baghban ki wo jo KHam rah gaya

sayyaad tu to ja, hai par us ki bhi kuchh KHabar

jo murgh-e-na-tawan ki tah-e-dam rah gaya

qismat to dekh TuTi hai ja kar kahan kamand

kuchh dur apne hath se jab baam rah gaya

maren hain hum nagin-e-sulaiman ko pusht-e-dast

jab miT gaya nishan to go nam rah gaya

ne tujh pe wo bahaar rahi aur na yan wo dil

kahne ko nek-o-bad ke ek ilzam rah gaya

mauquf kuchh kamal pe yan kaam-e-dil nahin

mujh ko hi dekh lena ki nakaam rah gaya

'qaem' gae sab us ki zaban se jo the rafiq

ek be-haya main khane ko dushnam rah gaya

RECITATIONS

Fasih Akmal

Fasih Akmal,

00:00/00:00
Fasih Akmal

dil pa ke uski zulf mein aaram rah gaya Fasih Akmal

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now