Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil-KHastagan mein dard ka aazar koi to aae

Aziz Qaisi

dil-KHastagan mein dard ka aazar koi to aae

Aziz Qaisi

dil-ḳhastagāñ meñ dard aazar koī to aa.e

patthar se mere ḳhvāb paikar koī to aa.e

dariyā bhī ho to kaise Dubo deñ zamīn ko

palkoñ ke paar ġham samundar koī to aa.e

chaukhaT se haal pūchhā to bāzār se sunā

ik din ġharīb-ḳhāne ke andar koī to aa.e

jo zaḳhm dostoñ ne diye haiñ vo chhup to jaa.eñ

par dushmanoñ samt se patthar koī to aa.e

haiñ nauhagar hazār sanā-ḳhvāñ hazār haiñ

mere sivā.e tiir zad par koī to aa.e

lākhoñ jab aa ke chuke kyā mil gayā miyāñ

ab bhī ye sochte ho payambar koī to aa.e

shikva durust 'qaisī' ke paiham sukūt

lekin is anjuman meñ suḳhnavar koī to aa.e

dil-KHastagan mein dard ka aazar koi to aae

patthar se mere KHwab ka paikar koi to aae

dariya bhi ho to kaise Dubo den zamin ko

palkon ke par gham ka samundar koi to aae

chaukhaT se haal puchha to bazar se suna

ek din gharib-KHane ke andar koi to aae

jo zaKHm doston ne diye hain wo chhup to jaen

par dushmanon ki samt se patthar koi to aae

hain nauhagar hazar sana-KHwan hazar hain

mere siwae tir ki zad par koi to aae

lakhon jab aa ke ja chuke kya mil gaya miyan

ab bhi ye sochte ho payambar koi to aae

shikwa durust 'qaisi' ke paiham sukut ka

lekin is anjuman mein suKHnawar koi to aae

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now