Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil hai palkon mein simaT aata hai aansu ki tarah

Tanveer Ahmad Alvi

dil hai palkon mein simaT aata hai aansu ki tarah

Tanveer Ahmad Alvi

dil hai palkoñ meñ simaT aatā hai aañsū tarah

reshmī raat bhīgī huī ḳhushbū tarah

zindagī aaj hai yādoñ ke ta.āqub meñ ravāñ

ret ke Tīloñ pe gard-e-ram-e-āhū tarah

aan aan meñ tārīḳh badal jaatī hai

shikan-e-zulf sūrat ḳham-e-abru tarah

taulne ke liye phūloñ tarāzū bhī to ho

fikr o ehsās bhī tul jaate haiñ ḳhushbū tarah

shahr-e-afsos meñ apne haiñ na begāne haiñ

ab dil o jaañ ke bhī rishte haiñ man-o-tū tarah

bijliyāñ haiñ ki chamaktī haiñ rag-e-jāñ ke qarīb

jām-e-sahbā tarah halqa-e-gesū tarah

terī yādoñ kahānī to nahīñ hai 'tanvīr'

dil pe dastak jo diyā kartā hai ḳhushbū tarah

dil hai palkon mein simaT aata hai aansu ki tarah

reshmi raat ki bhigi hui KHushbu ki tarah

zindagi aaj hai yaadon ke taaqub mein rawan

ret ke Tilon pe gard-e-ram-e-ahu ki tarah

aan ki aan mein tariKH badal jati hai

shikan-e-zulf ki surat KHam-e-abru ki tarah

taulne ke liye phulon ki taraazu bhi to ho

fikr o ehsas bhi tul jate hain KHushbu ki tarah

shahr-e-afsos mein apne hain na begane hain

ab dil o jaan ke bhi rishte hain man-o-tu ki tarah

bijliyan hain ki chamakti hain rag-e-jaan ke qarib

jam-e-sahba ki tarah halqa-e-gesu ki tarah

teri yaadon ki kahani to nahin hai 'tanwir'

dil pe dastak jo diya karta hai KHushbu ki tarah

Source :
  • Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 183)
  • Author : Farooq Argali
  • Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
  • Edition : 2004
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now