Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil-e-sozan-e-ashiq maKHzan-e-rang-e-wafa hoga

Javed Lakhnvi

dil-e-sozan-e-ashiq maKHzan-e-rang-e-wafa hoga

Javed Lakhnvi

dil-e-sozān-e-āshiq maḳhzan-e-rañg-e-vafā hogā

vo hissa qadr ke qābil hai jitnā jal gayā hogā

chale the dard ko sun kar thame ye kah ke raste meñ

na jaanā ab munāsib hai vo kab mar gayā hogā

ye ik bose pe itnī bahs ye zebā nahīñ tum ko

nahīñ hai yaad mujh ko ḳhair achchhā le liyā hogā

chhiḌī thiiñ husn bahseñ idhar chāñd aur idhar tum the

kisī ko dekh kar be-parda koī chhup gayā hogā

añdhere ghar kuchh parvā nahīñ hai tīra-baḳhtoñ ko

tum aao qabr par raushan charāġh-e-naqsh-e-pā hogā

muravvat to sūrat bhī nahīñ dekhī un āñkhoñ ne

agar dhamkā.ūñ marne par to kah degā ki kyā hogā

tamāshā jāñkanī kyuuñ na dekhā dekh to lete

rageñ jitnī khichī thiiñ dam bhī utnā khichā hogā

tum aao dekhne vaalā nahīñ koī sar-e-madfan

charāġh-e-qabr afsurda thā kab bujh gayā hogā

abhī to aag siine meñ kahīñ kam hai kahīñ zaa.id

agar mil jā.eñge aapas meñ sab chhāle to kyā hogā

chamak uTThī jo mere zaḳhm-e-dil meñ kyā qayāmat hai

falak par chāñd niklā hogā koī hinsā hogā

hamīñ se pūchh lo kaise ho tum aur husn kaisā hai

agar ā.īne ko dam bhar na dekhoge to kyā hogā

ġham-e-furqat kyā shikva qayāmat aane vaalī hai

ḳhudā ke sāmne āḳhir to ik din sāmnā hogā

yahī 'jāved' behtar hai ki ab tauba se kar tauba

vahī chhup kar piyegā mai jo tum pārsā hogā

dil-e-sozan-e-ashiq maKHzan-e-rang-e-wafa hoga

wo hissa qadr ke qabil hai jitna jal gaya hoga

chale the dard ko sun kar thame ye kah ke raste mein

na jaana ab munasib hai wo kab ka mar gaya hoga

ye ek bose pe itni bahs ye zeba nahin tum ko

nahin hai yaad mujh ko KHair achchha le liya hoga

chhiDi thin husn ki bahsen idhar chand aur idhar tum the

kisi ko dekh kar be-parda koi chhup gaya hoga

andhere ghar ki kuchh parwa nahin hai tira-baKHton ko

tum aao qabr par raushan charagh-e-naqsh-e-pa hoga

murawwat ki to surat bhi nahin dekhi un aankhon ne

agar dhamkaun marne par to kah dega ki kya hoga

tamasha jaankani ka kyun na dekha dekh to lete

ragen jitni khichi thin dam bhi utna hi khicha hoga

tum aao dekhne wala nahin koi sar-e-madfan

charagh-e-qabr afsurda tha kab ka bujh gaya hoga

abhi to aag sine mein kahin kam hai kahin zaid

agar mil jaenge aapas mein sab chhaale to kya hoga

chamak uTThi jo mere zaKHm-e-dil mein kya qayamat hai

falak par chand nikla hoga ya koi hinsa hoga

hamin se puchh lo kaise ho tum aur husn kaisa hai

agar aaine ko dam bhar na dekhoge to kya hoga

gham-e-furqat ka kya shikwa qayamat aane wali hai

KHuda ke samne aaKHir to ek din samna hoga

yahi 'jawed' behtar hai ki ab tauba se kar tauba

wahi chhup kar piyega mai jo tum sa parsa hoga

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now