dil apna harif-e-saill-e-bala ab kya kahen kitna TuT gaya
dil apna harif-e-saill-e-bala ab kya kahen kitna TuT gaya
Mahshar Badayuni
MORE BYMahshar Badayuni
dil apnā harīf-e-saill-e-balā ab kyā kaheñ kitnā TuuT gayā
aaj aur thapeḌe Takrā.e aaj aur kinārā TuuT gayā
paikār hī jin kā sheva ho vo tund havā.eñ kyā samjheñ
gulzār to ham par tañg huā baazū to hamārā TuuT gayā
miTTī se ḳhvāb tarāshā thā so us kī ye ta.abīr milī
ab aadhā gharauñdā baaqī hai aur aadhā gharauñdā TuuT gayā
ghar bhī vahī ghar vaale bhī vahī par kyā lage is māhaul meñ jī
dīvār se rishta qaa.em hai saa.e se rishta TuuT gayā
jis ke liye bachcha royā thā aur poñchhe the aañsū baabā ne
vo bachcha ab bhī zinda hai vo mahñgā khilaunā TuuT gayā
kab dīda-e-gul huā dāman jo jab chhoḌ ga.ī gul ko ḳhushbū
kab aayā shajar ko hosh-e-numū jab pattā pattā TuuT gayā
dil apna harif-e-saill-e-bala ab kya kahen kitna TuT gaya
aaj aur thapeDe Takrae aaj aur kinara TuT gaya
paikar hi jin ka shewa ho wo tund hawaen kya samjhen
gulzar to hum par tang hua bazu to hamara TuT gaya
miTTi se KHwab tarasha tha so us ki ye tabir mili
ab aadha gharaunda baqi hai aur aadha gharaunda TuT gaya
ghar bhi wahi ghar wale bhi wahi par kya lage is mahaul mein ji
diwar se rishta qaem hai sae se rishta TuT gaya
jis ke liye bachcha roya tha aur ponchhe the aansu baba ne
wo bachcha ab bhi zinda hai wo mahnga khilauna TuT gaya
kab dida-e-gul hua daman jo jab chhoD gai gul ko KHushbu
kab aaya shajar ko hosh-e-numu jab patta patta TuT gaya
- Book : Kulliyat-e-Mahshar Badayuni (Pg. 369)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.