Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dhup mein gham ki mere sath jo aaya hoga

Saghar Azmi

dhup mein gham ki mere sath jo aaya hoga

Saghar Azmi

dhuup meñ ġham mire saath jo aayā hogā

vo koī aur nahīñ merā saayā hogā

ye jo dīvār pe kuchh naqsh haiñ dhundle dhundle

us ne likh likh ke mirā naam miTāyā hogā

jin ke hoñToñ pe tabassum hai magar aañkh hai nam

us ne ġham apnā zamāne se chhupāyā hogā

be-ta.alluq fazā hogī rah-e-ġhurbat meñ

koī apnā milegā na parāyā hogā

itnā nārāz ho kyuuñ us ne jo patthar pheñkā

us ke hāthoñ se kabhī phuul bhī aayā hogā

merī tarah mire sher haiñ rusvā 'sāġhar'

kis ko is tarah mohabbat ne sunāyā hogā

dhup mein gham ki mere sath jo aaya hoga

wo koi aur nahin mera hi saya hoga

ye jo diwar pe kuchh naqsh hain dhundle dhundle

us ne likh likh ke mera nam miTaya hoga

jin ke honTon pe tabassum hai magar aankh hai nam

us ne gham apna zamane se chhupaya hoga

be-talluq si faza hogi rah-e-ghurbat mein

koi apna hi milega na paraya hoga

itna naraaz ho kyun us ne jo patthar phenka

us ke hathon se kabhi phul bhi aaya hoga

meri hi tarah mere sher hain ruswa 'saghar'

kis ko is tarah mohabbat ne sunaya hoga

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now