Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

DhunD rakkhi hai meri wahshat ne aasani meri

Javed Shaheen

DhunD rakkhi hai meri wahshat ne aasani meri

Javed Shaheen

DhūñD rakkhī hai mirī vahshat ne āsānī mirī

ghar hālat meñ rakh hai bayābānī mirī

naam ko bas paḌegā bojh terī jeb par

dekhne hai sar-e-bāzār arzānī mirī

hosh hai bas is qadar nairañgi-e-hālāt meñ

do qadam rahtī hai aage mujh se hairānī mirī

husn-e-be-parvā ko ḳhud se thoḌā ġhāfil dekh kar

mujh ko kyā kuchh is dikhlātī hai uryānī mirī

vo ajab ik shahr thā jis meñ kaTe yuuñ maah o saal

din se maiñ vāqif nahīñ thā shab thī anjānī mirī

hai koī jo rakh rahā hai roz o shab sab hisāb

hotī rahtī hai kahīñ par saḳht nigrānī mirī

har tarah ke mausamoñ meñ merā rakhtā hai ḳhayāl

hai koī jo kartā rahtā hai nigahbānī mirī

aaj bhī kaj hai usī dhaj se phaTī ik kulāh

tañg kartī hai abhī tak ḳhū-e-sultānī mirī

kis jagah hai vo bachā rakkhā hai jis ke vāste

ek sajda jo liye phirtī hai peshānī mirī

ḳhud banā letā huuñ maiñ apnī udāsī sabab

DhūñD letī hai 'shāhīñ' mujh ko vīrānī mirī

DhunD rakkhi hai meri wahshat ne aasani meri

ghar ki haalat hi mein rakh di hai bayabani meri

nam hi ko bas paDega bojh teri jeb par

dekhne ki hai sar-e-bazar arzani meri

hosh hai bas is qadar nairangi-e-haalat mein

do qadam rahti hai aage mujh se hairani meri

husn-e-be-parwa ko KHud se thoDa ghafil dekh kar

mujh ko kya kuchh is ka dikhlati hai uryani meri

wo ajab ek shahr tha jis mein kaTe yun mah o sal

din se main waqif nahin tha shab thi anjaani meri

hai koi jo rakh raha hai roz o shab ka sab hisab

hoti rahti hai kahin par saKHt nigrani meri

har tarah ke mausamon mein mera rakhta hai KHayal

hai koi jo karta rahta hai nigahbani meri

aaj bhi kaj hai usi dhaj se phaTi si ek kulah

tang karti hai abhi tak KHu-e-sultani meri

kis jagah hai wo bacha rakkha hai jis ke waste

ek sajda jo liye phirti hai peshani meri

KHud bana leta hun main apni udasi ka sabab

DhunD hi leti hai 'shahin' mujh ko virani meri

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now