Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dekh kar jada-e-hasti pe subuk-gam mujhe

Syed Ehtisham Husain

dekh kar jada-e-hasti pe subuk-gam mujhe

Syed Ehtisham Husain

dekh kar jāda-e-hastī pe subuk-gām mujhe

duur se taktī rahī gardish-e-ayyām mujhe

Daal kar ek nazar pyaar merī jānib

dost ne kar liyā banda-e-be-dām mujhe

kal suneñge vahī muzhda mirī āzādī

aaj jo dekh ke hañste haiñ tah-e-dām mujhe

dekh letā huuñ añdhere meñ ujāle kiran

zulmat-e-shab ne diyā sub.h paiġhām mujhe

na to jiine meñ lazzat hai na marne umang

un nigāhoñ ne diyā kaun paiġhām mujhe

maiñ samajhtā huuñ mujhe daulat-e-kaunain milī

kaun kahtā hai ki vo kar ga.e badnām mujhe

garche āġhāz-e-mohabbat ne diye haiñ dhoke

liye jaatī hai kahīñ kāvish-e-anjām mujhe

terā ho ke jo rah jā.ūñ to phir kyā hogā

ai junūñ aur haiñ duniyā meñ bahut kaam mujhe

dekh kar jada-e-hasti pe subuk-gam mujhe

dur se takti rahi gardish-e-ayyam mujhe

Dal kar ek nazar pyar ki meri jaanib

dost ne kar hi liya banda-e-be-dam mujhe

kal sunenge wahi muzhda meri aazadi ka

aaj jo dekh ke hanste hain tah-e-dam mujhe

dekh leta hun andhere mein ujale ki kiran

zulmat-e-shab ne diya subh ka paigham mujhe

na to jine hi mein lazzat hai na marne ki umang

un nigahon ne diya kaun sa paigham mujhe

main samajhta hun mujhe daulat-e-kaunain mili

kaun kahta hai ki wo kar gae badnam mujhe

garche aaghaz-e-mohabbat ne diye hain dhoke

liye jati hai kahin kawish-e-anjam mujhe

tera hi ho ke jo rah jaun to phir kya hoga

ai junun aur hain duniya mein bahut kaam mujhe

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

dekh kar jada-e-hasti pe subuk-gam mujhe Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now