Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chilchilati dhup sar par aur tanha aadmi

Chandrabhan Khayal

chilchilati dhup sar par aur tanha aadmi

Chandrabhan Khayal

MORE BYChandrabhan Khayal

    chilchilātī dhuup sar par aur tanhā aadmī

    aah ye ḳhāmosh patthar aur tanhā aadmī

    jis tarah ik barf ke Tiile pe jaltī ho chitā

    ye pighaltā mom ghar aur tanhā aadmī

    is hisār-e-ḳhāmushī meñ barsar-e-paikār haiñ

    tez āvāzoñ ke lashkar aur tanhā aadmī

    kyā usī naam hai ra.anā.ī-e-bazm-e-hayāt

    tañg kamra sard bistar aur tanhā aadmī

    kis tarah ābād hogī dil suunī kā.enāt

    Dūbte majrūh manzar aur tanhā aadmī

    haa.e un be-kār zehnoñ ghanī parchhā.iyāñ

    uf ye sannāTe ajgar aur tanhā aadmī

    raat ke nañge badan se ḳhvāhishoñ chheḌ-chhāḌ

    har-ghaḌī anjām Dar aur tanhā aadmī

    chilchilati dhup sar par aur tanha aadmi

    aah ye KHamosh patthar aur tanha aadmi

    jis tarah ek barf ke Tile pe jalti ho chita

    ye pighalta mom sa ghar aur tanha aadmi

    is hisar-e-KHamushi mein barsar-e-paikar hain

    tez aawazon ke lashkar aur tanha aadmi

    kya usi ka nam hai ranai-e-bazm-e-hayat

    tang kamra sard bistar aur tanha aadmi

    kis tarah aabaad hogi dil ki suni kaenat

    Dubte majruh manzar aur tanha aadmi

    hae un be-kar zehnon ki ghani parchhaiyan

    uf ye sannaTe ka ajgar aur tanha aadmi

    raat ke nange badan se KHwahishon ki chheD-chhaD

    har-ghaDi anjam ka Dar aur tanha aadmi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now