Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chhup ke nazron se in aankhon ki faramosh ki rah

Baqaullah 'Baqa'

chhup ke nazron se in aankhon ki faramosh ki rah

Baqaullah 'Baqa'

chhup ke nazroñ se in āñkhoñ farāmosh raah

ab jo aatā hai kabhī dil meñ to vo gosh raah

aage juuñ ashk vo rahtā thā sadā pahlū meñ

kyuuñ ab us tifl ne gum mirī āġhosh raah

kyūñke poñchhegā vo aa kar mire aañsū haihāt

kūche sab ashk se gil haiñ nahīñ pā-posh raah

bhar safar naam japūñgā tirā to raah kaTe

yuuñ to tai hogī na us rah-rav-e-ḳhāmosh raah

chhoḌ kar kūcha-e-mai-ḳhāna taraf masjid ke

maiñ to dīvāna nahīñ huuñ jo chalūñ hosh raah

yuuñ to aatā nahīñ ai kaash mire ghar koī

phere nashshe meñ ġhalat us but-e-mai-nosh raah

Das ga.iiñ haa.e mire dil ke ta.iiñ aaj 'baqā'

nāgineñ zulf us sar se utar dosh raah

chhup ke nazron se in aankhon ki faramosh ki rah

ab jo aata hai kabhi dil mein to wo gosh ki rah

aage jun ashk wo rahta tha sada pahlu mein

kyun ab us tifl ne gum ki meri aaghosh ki rah

kyunke ponchhega wo aa kar mere aansu haihat

kuche sab ashk se gil hain nahin pa-posh ki rah

bhar safar nam japunga tera to rah kaTe

yun to tai hogi na us rah-raw-e-KHamosh ki rah

chhoD kar kucha-e-mai-KHana taraf masjid ke

main to diwana nahin hun jo chalun hosh ki rah

yun to aata nahin ai kash mere ghar koi

phere nashshe mein ghalat us but-e-mai-nosh ki rah

Das gain hae mere dil ke tain aaj 'baqa'

naginen zulf ki us sar se utar dosh ki rah

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now