Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chaudhwan us chandar ka sal hua

Faez Dehlvi

chaudhwan us chandar ka sal hua

Faez Dehlvi

chaudhvāñ us chañdar saal huā

husn meñ badr bā-kamāl huā

tujh chanchal nahīñ zamāne meñ

ram meñ ai man hiran ġhazāl huā

bāġh-e-dil meñ naḳhl-e-tūbā hai

sarv tujh qad se pā.emāl huā

raat din rahe raqībāñ-sañg

dekhnā terā mujh muhāl huā

dekh kar tujh nayan shoḳhī kuuñ

thak ke sahrā-nashīñ ġhazāl huā

murġh-e-dil ke phañsāne ko mere

dāna-o-dām zulf o ḳhaal huā

zulf har shikan meñ tujh merā

dil giraftār baal baal huā

chaudhwan us chandar ka sal hua

husn mein badr ba-kamal hua

tujh sa chanchal nahin zamane mein

ram mein ai man hiran ghazal hua

bagh-e-dil mein tu naKHl-e-tuba hai

sarw tujh qad se paemal hua

raat din tu rahe raqiban-sang

dekhna tera mujh muhaal hua

dekh kar tujh nayan ki shoKHi kun

thak ke sahra-nashin ghazal hua

murgh-e-dil ke phansane ko mere

dana-o-dam zulf o KHal hua

zulf ki har shikan mein tujh mera

dil giraftar baal baal hua

Source :
  • Book : Intekhab Kalam (Pg. 36)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now