Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bas farq is qadar hai gunah o sawab mein

Sahir Hoshiyarpuri

bas farq is qadar hai gunah o sawab mein

Sahir Hoshiyarpuri

bas farq is qadar hai gunāh o savāb meñ

piirī meñ vo ravā hai ye jaa.ez shabāb meñ

tāsīr-e-jazb-e-shauq ye sehr dekhiye

ḳhud aa ga.e haiñ vo mire ḳhat ke javāb meñ

āḳhir taḌap taḌap ke ye ḳhāmosh ho gayā

dil ko sukūn mil gayā iztirāb meñ

āñhkeñ milā ke to ināyat ho ek jaam

zahr milā do hamārī sharāb meñ

ruḳh āftāb hoñT kañval chaal hashr-ḳhez

kis shai ab kamī hai tumhāre shabāb meñ

duniyā meñ DhūñDhte rahe ham rāhateñ abas

duniyā rāhateñ to haiñ tere itaab meñ

'sāhir' ajiib shai hai mohabbat dard bhī

dil mubtalā hai ek musalsal azaab meñ

bas farq is qadar hai gunah o sawab mein

piri mein wo rawa hai ye jaez shabab mein

tasir-e-jazb-e-shauq ka ye sehr dekhiye

KHud aa gae hain wo mere KHat ke jawab mein

aaKHir taDap taDap ke ye KHamosh ho gaya

dil ko sukun mil hi gaya iztirab mein

aanhken mila ke ya to inayat ho ek jam

ya zahr hi mila do hamari sharab mein

ruKH aaftab honT kanwal chaal hashr-KHez

kis shai ki ab kami hai tumhaare shabab mein

duniya mein DhunDhte rahe hum rahaten abas

duniya ki rahaten to hain tere itab mein

'sahir' ajib shai hai mohabbat ka dard bhi

dil mubtala hai ek musalsal azab mein

Source :
  • Book : Sehr e Naghma (Pg. 65)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now