Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bane ye zahr hi wajh-e-shifa jo tu chahe

Majeed Amjad

bane ye zahr hi wajh-e-shifa jo tu chahe

Majeed Amjad

bane ye zahr vaj.h-e-shifā jo chāhe

ḳharīd luuñ maiñ ye naqlī davā jo chāhe

ye zard pañkhḌiyāñ jin par ki harf harf huuñ maiñ

havā-e-shām meñ mahkeñ zarā jo chāhe

tujhe to ilm hai kyuuñ maiñ ne is tarah chāhā

jo ne yuuñ nahīñ chāhā to kyā jo chāhe

jab ek saañs ghuse saath ek note pise

nizām-e-zar hasīñ āsiyā jo chāhe

bas ik tirī shikam-ser ruuh hai āzād

ab ai asīr-e-kamand-e-havā jo chāhe

zarā shikoh-e-do-ālam ke gumbadoñ meñ laraz

phir us ke ba.ad terā faisla jo chāhe

salām un pe tah-e-teġh bhī jinhoñ ne kahā

jo terā hukm jo terī razā jo chāhe

jo tere baaġh meñ mazdūriyāñ kareñ 'amjad'

khileñ vo phuul bhī ik martaba jo chāhe

bane ye zahr hi wajh-e-shifa jo tu chahe

KHarid lun main ye naqli dawa jo tu chahe

ye zard pankhDiyan jin par ki harf harf hun main

hawa-e-sham mein mahken zara jo tu chahe

tujhe to ilm hai kyun main ne is tarah chaha

jo tu ne yun nahin chaha to kya jo tu chahe

jab ek sans ghuse sath ek note pise

nizam-e-zar ki hasin aasiya jo tu chahe

bas ek teri hi shikam-ser ruh hai aazad

ab ai asir-e-kamand-e-hawa jo tu chahe

zara shikoh-e-do-alam ke gumbadon mein laraz

phir us ke baad tera faisla jo tu chahe

salam un pe tah-e-tegh bhi jinhon ne kaha

jo tera hukm jo teri raza jo tu chahe

jo tere bagh mein mazduriyan karen 'amjad'

khilen wo phul bhi ek martaba jo tu chahe

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Majeed Amjad

Majeed Amjad

Majeed Amjad

Majeed Amjad

Source :
  • Book : Kulliyaat-e-majiid Amjad (Pg. 716)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now