Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

band darwaze khule ruh mein daKHil hua main

Irshad Khan Sikandar

band darwaze khule ruh mein daKHil hua main

Irshad Khan Sikandar

band darvāze khule ruuh meñ dāḳhil huā maiñ

chand sajdoñ se tirī zaat meñ shāmil huā maiñ

khīñch laa.ī hai mohabbat tire dar par mujh ko

itnī āsānī se varna kise hāsil huā maiñ

muddatoñ āñkheñ vazū kartī rahīñ ashkoñ se

tab kahīñ ke tirī diid ke qābil huā maiñ

jab tire paañv aahaT mirī jānib aa.ī

sar se tak mujhe us vaqt lagā dil huā maiñ

jab maiñ aayā thā jahāñ meñ to bahut aalim thā

jitnī ta.alīm milī utnā jāhil huā maiñ

phuul se zaḳhm ḳhushbū se mo.attar ġhazleñ

lutf dene lagīñ aur dard se ġhāfil huā maiñ

mo.ajaze ishq dikhātā hai 'sikandar'-sāhib

choT to us ko lagī dekhiye choTil huā maiñ

band darwaze khule ruh mein daKHil hua main

chand sajdon se teri zat mein shamil hua main

khinch lai hai mohabbat tere dar par mujh ko

itni aasani se warna kise hasil hua main

muddaton aankhen wazu karti rahin ashkon se

tab kahin ja ke teri did ke qabil hua main

jab tere panw ki aahaT meri jaanib aai

sar se pa tak mujhe us waqt laga dil hua main

jab main aaya tha jahan mein to bahut aalim tha

jitni talim mili utna hi jahil hua main

phul se zaKHm ki KHushbu se moattar ghazlen

lutf dene lagin aur dard se ghafil hua main

moajaze ishq dikhata hai 'sikandar'-sahib

choT to us ko lagi dekhiye choTil hua main

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Irshad Khan Sikandar

Irshad Khan Sikandar

RECITATIONS

Irshad Khan Sikandar

Irshad Khan Sikandar,

00:00/00:00
Irshad Khan Sikandar

band darwaze khule ruh mein daKHil hua main Irshad Khan Sikandar

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now