Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baDe ghazab ka hai yaro baDe azab ka zaKHm

Ibn-e-Safi

baDe ghazab ka hai yaro baDe azab ka zaKHm

Ibn-e-Safi

baḌe ġhazab hai yaaro baḌe 'azāb zaḳhm

agar shabāb Thahrā mire shabāb zaḳhm

zarā baat thī kuchh āsmāñ na phaT paḌtā

magar harā hai abhī tak tire javāb zaḳhm

zamīñ kokh zaḳhmī nahīñ añdheroñ se

hai āsmāñ ke bhī siine pe āftāb zaḳhm

maiñ sañgsār jo hotā to phir bhī ḳhush rahtā

khaTak rahā hai magar dil meñ ik gulāb zaḳhm

usī chāragarī meñ guzar ga.ī 'asrār'

tamām 'umr ko kaafī thā ik shabāb zaḳhm

baDe ghazab ka hai yaro baDe 'azab ka zaKHm

agar shabab hi Thahra mere shabab ka zaKHm

zara si baat thi kuchh aasman na phaT paDta

magar hara hai abhi tak tere jawab ka zaKHm

zamin ki kokh hi zaKHmi nahin andheron se

hai aasman ke bhi sine pe aaftab ka zaKHm

main sangsar jo hota to phir bhi KHush rahta

khaTak raha hai magar dil mein ek gulab ka zaKHm

usi ki chaaragari mein guzar gai 'asrar'

tamam 'umr ko kafi tha ek shabab ka zaKHm

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

baDe ghazab ka hai yaro baDe azab ka zaKHm Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now