badan mein jaise lahu taziyana ho gaya hai
badan meñ jaise lahū tāziyāna ho gayā hai
use gale se lagā.e zamāna ho gayā hai
chamak rahā hai ufuq tak ġhubār-e-tīra-shbī
koī charāġh safar par ravāna ho gayā hai
hameñ to ḳhair bikharnā hī thā kabhī na kabhī
havā-e-tāza kā jhoñkā bahāna ho gayā hai
ġharaz ki pūchhte kyā ho ma.āl-e-soḳhtagāñ
tamām jalnā jalānā fasāna ho gayā hai
fazā-e-shauq meñ us kī bisāt hī kyā thī
parind apne paroñ kā nishāna ho gayā hai
kisī ne dekhe haiñ patjhaḌ meñ phuul khilte hue
dil apnī ḳhush-nazarī meñ divāna ho gayā hai
badan mein jaise lahu taziyana ho gaya hai
use gale se lagae zamana ho gaya hai
chamak raha hai ufuq tak ghubar-e-tira-shbi
koi charagh safar par rawana ho gaya hai
hamein to KHair bikharna hi tha kabhi na kabhi
hawa-e-taza ka jhonka bahana ho gaya hai
gharaz ki puchhte kya ho maal-e-soKHtagan
tamam jalna jalana fasana ho gaya hai
faza-e-shauq mein us ki bisat hi kya thi
parind apne paron ka nishana ho gaya hai
kisi ne dekhe hain patjhaD mein phul khilte hue
dil apni KHush-nazari mein diwana ho gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.