Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bais koi aisa hai ki main kuchh nahin kahta

Dattatriya Kaifi

bais koi aisa hai ki main kuchh nahin kahta

Dattatriya Kaifi

baa.is koī aisā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā

varna mujhe saudā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā

ilzām ye jhūTā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā

kyā vo mirī suntā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā

jhūTā tirā kahnā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā

da.avā mirā sachchā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā

dekh rahā hai jo mirā haal hai qāsid

mujh ko yahī kahnā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā

kahnā jo na thā kah gayā dekho to DhiTā.ī

aur phir kahe jaatā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā

vo zid pe tule baiThe haiñ kyā bahs se hāsil

mauqa ye aisā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā

thī sam.a-ḳharāshī shikāyat kabhī un ko

ab suntā huuñ shikvā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā

bad-goī bad-goī hai bohtān bohtān

aur us pe vo kahtā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā

maiñ kuchh kahūñ to haath vo kānoñ pe haiñ dharte

aur ulTā ye chheḌā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā

aatā hai jo muñh par vo kahe jaate haiñ be-rok

aur us pe ye fiqrā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā

maiñ dekh chukā huuñ unhīñ kah kah ke magar kyā

us natīja hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā

maiñ kis se kahūñ kyā kahūñ suntā hai vahāñ kaun

us ye manshā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā

ye tark-e-mohabbat nahīñ un se magar ai dost

rañj aisā pahuñchā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā

qaiñchī chalī chaltī hai dekho to zabāñ aur

us par bhī ye da.avā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā

raaz un ke khule jaate haiñ ek ek sabhoñ par

aur us pe tamāshā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā

sach baat ke sunñe unheñ taab kahāñ hai

is se yahī achchhā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā

bāteñ haiñ ki chhuriyāñ chubhī jaatī haiñ dil meñ

merā kaleja hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā

maiñ kahne pe aa.uuñ to rulā kar unheñ chhoḌūñ

mat pūchh sabab kyā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā

chup-chāp sunī an-sunī kar detā huuñ har baat

ġhairoñ meñ bhī charchā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā

nāzuk hai mizāj un yahāñ sach hai aadat

is samjhe sabab kyā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā

bigḌā hai mizāj aur kahīñ tez na ho jaa.eñ

mujh ko yahī sāñsā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā

kyuuñ apnī zabāñ se kahūñ pūchho tum unhīñ se

raaz is meñ nahīñ hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā

jo rañj azīzoñ ne diye kyā kahūñ 'kaifī'

ġhairat taqāzā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā

bais koi aisa hai ki main kuchh nahin kahta

warna mujhe sauda hai ki main kuchh nahin kahta

ilzam ye jhuTa hai ki main kuchh nahin kahta

kya wo meri sunta hai ki main kuchh nahin kahta

jhuTa tera kahna hai ki main kuchh nahin kahta

dawa mera sachcha hai ki main kuchh nahin kahta

tu dekh raha hai jo mera haal hai qasid

mujh ko yahi kahna hai ki main kuchh nahin kahta

kahna jo na tha kah gaya dekho to DhiTai

aur phir kahe jata hai ki main kuchh nahin kahta

wo zid pe tule baiThe hain kya bahs se hasil

mauqa hi ye aisa hai ki main kuchh nahin kahta

thi sama-KHarashi ki shikayat kabhi un ko

ab sunta hun shikwa hai ki main kuchh nahin kahta

bad-goi si bad-goi hai bohtan sa bohtan

aur us pe wo kahta hai ki main kuchh nahin kahta

main kuchh kahun to hath wo kanon pe hain dharte

aur ulTa ye chheDa hai ki main kuchh nahin kahta

aata hai jo munh par wo kahe jate hain be-rok

aur us pe ye fiqra hai ki main kuchh nahin kahta

main dekh chuka hun unhin kah kah ke magar kya

us ka hi natija hai ki main kuchh nahin kahta

main kis se kahun kya kahun sunta hai wahan kaun

us ka hi ye mansha hai ki main kuchh nahin kahta

ye tark-e-mohabbat nahin un se magar ai dost

ranj aisa hi pahuncha hai ki main kuchh nahin kahta

qainchi si chali chalti hai dekho to zaban aur

us par bhi ye dawa hai ki main kuchh nahin kahta

raaz un ke khule jate hain ek ek sabhon par

aur us pe tamasha hai ki main kuchh nahin kahta

sach baat ke sunne ki unhen tab kahan hai

is se yahi achchha hai ki main kuchh nahin kahta

baaten hain ki chhuriyan si chubhi jati hain dil mein

mera hi kaleja hai ki main kuchh nahin kahta

main kahne pe aaun to rula kar unhen chhoDun

mat puchh sabab kya hai ki main kuchh nahin kahta

chup-chap suni an-suni kar deta hun har baat

ghairon mein bhi charcha hai ki main kuchh nahin kahta

nazuk hai mizaj un ka yahan sach ki hai aadat

is samjhe sabab kya hai ki main kuchh nahin kahta

bigDa hai mizaj aur kahin tez na ho jaen

mujh ko yahi sansa hai ki main kuchh nahin kahta

kyun apni zaban se kahun puchho tum unhin se

raaz is mein nahin ya hai ki main kuchh nahin kahta

jo ranj azizon ne diye kya kahun 'kaifi'

ghairat ka taqaza hai ki main kuchh nahin kahta

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now