Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aur hi wo log hain jinko hai yazdan ki talash

Nazeer Siddiqui

aur hi wo log hain jinko hai yazdan ki talash

Nazeer Siddiqui

aur vo log haiñ jin ko hai yazdāñ talāsh

mujh ko insānoñ duniyā meñ hai insāñ talāsh

maiñ nahīñ kahtā ki duniyā meñ hai ulfat kamī

mujh ko hai lekin isī jins-e-farāvāñ talāsh

bār-e-ḳhātir hai hayāt-e-pur-sukūn o pur-jumūd

maiñ vo sāhil huuñ jise rahtī hai tūfāñ talāsh

is jahāñ ko jab banā saktā hai vo rashk-e-iram

jaane kyuuñ insāñ ko hai firdaus-e-vīrāñ talāsh

ai sukūn-e-jāñ mujhe aisī hai terī talab

chashm-e-nam ko jis tarah rahtī hai dāmāñ talāsh

aur hi wo log hain jin ko hai yazdan ki talash

mujh ko insanon ki duniya mein hai insan ki talash

main nahin kahta ki duniya mein hai ulfat ki kami

mujh ko hai lekin isi jins-e-farawan ki talash

bar-e-KHatir hai hayat-e-pur-sukun o pur-jumud

main wo sahil hun jise rahti hai tufan ki talash

is jahan ko jab bana sakta hai wo rashk-e-iram

jaane kyun insan ko hai firdaus-e-viran ki talash

ai sukun-e-jaan mujhe aisi hi hai teri talab

chashm-e-nam ko jis tarah rahti hai daman ki talash

Source :
  • Book : sheerazah (Pg. 45)
  • Author : makhmoor saeedi,Parem Gopal Mittal
  • Publication : P -K Publication 3072 Partap stareet gola Market -Daryaganj delhi-6 (1973)
  • Edition : 1973
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now