ashk Dhalte nahin dekhe jate
ashk Dhalte nahīñ dekhe jaate
dil pighalte nahīñ dekhe jaate
phuul dushman ke hoñ yā apne hoñ
phuul jalte nahīñ dekhe jaate
titliyāñ haath bhī lag jaa.eñ to
par masalte nahīñ dekhe jaate
jabr kī dhuup se taptī saḌkeñ
log chalte nahīñ dekhe jaate
ḳhvāb-dushman haiñ zamāne vaale
ḳhvāb palte nahīñ dekhe jaate
dekh sakte haiñ badaltā sab kuchh
dil badalte nahīñ dekhe jaate
karbalā meñ ruḳh-e-asġhar kī taraf
tiir chalte nahīñ dekhe jaate
ashk Dhalte nahin dekhe jate
dil pighalte nahin dekhe jate
phul dushman ke hon ya apne hon
phul jalte nahin dekhe jate
titliyan hath bhi lag jaen to
par masalte nahin dekhe jate
jabr ki dhup se tapti saDken
log chalte nahin dekhe jate
KHwab-dushman hain zamane wale
KHwab palte nahin dekhe jate
dekh sakte hain badalta sab kuchh
dil badalte nahin dekhe jate
karbala mein ruKH-e-asghar ki taraf
tir chalte nahin dekhe jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.