Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ajnabi bud-o-bash ke qurb-o-jawar mein mila

Javed Shaheen

ajnabi bud-o-bash ke qurb-o-jawar mein mila

Javed Shaheen

ajnabī būd-o-bāsh ke qurb-o-javār meñ milā

bichhḌā to vo mujhe kisī aur dayār meñ milā

mere liye vo kam-numā hairat-e-gul banā rahā

aañkh ke vast meñ sadā ek ġhubār meñ milā

baaġh thā jis tarah sajā us meñ kisī haath thā

jaisā bhī koī phuul thā ek qatār meñ milā

to vo ek ḳhvāb thā TuuT ke juḌtā rahā

phir ḳhalal nigāh aañkh ke taar meñ milā

'arsa vo mere 'ishq niklā koī fareb

maiñ thā kahāñ vo ḳhud-numā ḳhud se pyaar meñ milā

itnī ziyāda bhiiḌ thī baat na us se ho sakī

pal bhar vo tez vaqt rāhguzār meñ milā

barf thī kab thī vo havā ghar se yūñhī nikal paḌā

jism ke kaTne maza jaaḌe dhaar meñ milā

shahr vo thā 'ajīb jo bhī vahāñ pe shaḳhs thā

band bahut burī tarah ek hisār meñ milā

ye mire maah ye baras merī hayāt-e-yak-nafas

merā jahān-e-ḳhār-o-ḳhas mujh ko udhār meñ milā

phuul kuchh is tarah khilā dil bhī zarā kaT gayā

thoḌā rang ḳhuun rañg-e-bahār meñ milā

shaam se mah-e-tamām chaḌhne lagā falak baam

āḳhir-e-shab ye narm-gām ek utaar meñ milā

'shāhīñ' guloñ qāfila jis meñ sharīk vo bhī thā

ek jagah rukā huā vādī-e-ḳhār meñ milā

ajnabi bud-o-bash ke qurb-o-jawar mein mila

bichhDa to wo mujhe kisi aur dayar mein mila

mere liye wo kam-numa hairat-e-gul bana raha

aankh ke wast mein sada ek ghubar mein mila

bagh tha jis tarah saja us mein kisi ka hath tha

jaisa bhi koi phul tha ek qatar mein mila

ya to wo ek KHwab tha TuT ke juDta hi raha

ya phir KHalal nigah ka aankh ke tar mein mila

'arsa wo mere 'ishq ka nikla koi fareb sa

main tha kahan wo KHud-numa KHud hi se pyar mein mila

itni ziyaada bhiD thi baat na us se ho saki

pal bhar wo tez waqt ki rahguzar mein mila

barf thi kab thi wo hawa ghar se yunhi nikal paDa

jism ke kaTne ka maza jaDe ki dhaar mein mila

shahr wo tha 'ajib sa jo bhi wahan pe shaKHs tha

band bahut buri tarah ek hisar mein mila

ye mere mah ye baras meri hayat-e-yak-nafas

mera jahan-e-KHar-o-KHas mujh ko udhaar mein mila

phul kuchh is tarah khila dil bhi zara sa kaT gaya

thoDa sa rang KHun ka rang-e-bahaar mein mila

sham hi se mah-e-tamam chaDhne laga falak ka baam

aaKHir-e-shab ye narm-gam ek utar mein mila

'shahin' gulon ka qafila jis mein sharik wo bhi tha

ek jagah ruka hua wadi-e-KHar mein mila

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

ajnabi bud-o-bash ke qurb-o-jawar mein mila Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now