Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ajib kaifiyat aaKHir talak rahi dil ki

Aziz-ur-Rahman Shaheed Fatehpuri

ajib kaifiyat aaKHir talak rahi dil ki

Aziz-ur-Rahman Shaheed Fatehpuri

ajiib kaifiyat āḳhir talak rahī dil

farāz-e-dār meñ bhī justujū thī manzil

vo husn jis se milā hai mujhe shu.ūr-e-vafā

ḳhudā nahīñ thā to kyuuñ vahi-e-ishq nāzil

tarāshe kitne but āzarī ke fan ne magar

milī na ek bhī sūrat tire muqābil

ab āñkheñ band haiñ taaki koī samajh na sake

mirī nigāh meñ tasvīr hogī qātil

dimāġh diida o dil sab ne roknā chāhā

magar junūñ ne mirī har dalīl bātil

isī ko kahte haiñ sāhil pe rah ke tishna-labī

talāsh hai tirī mahfil meñ jān-e-mahfil

ye baat sach hai ki marnā sabhī ko hai lekin

alag hotī hai lazzat nigāh-e-qātil

thā rahbaroñ pe bharosa to ab bhaTaktā huuñ

mujhe ḳhabar nahīñ thī fareb-e-manzil

miyāñ 'shahīd' ye maanā ki tum bhī shā.er ho

magar batāo ki haq āgahī bhī hāsil

ajib kaifiyat aaKHir talak rahi dil ki

faraaz-e-dar mein bhi justuju thi manzil ki

wo husn jis se mila hai mujhe shuur-e-wafa

KHuda nahin tha to kyun wahi-e-ishq nazil ki

tarashe kitne hi but aazari ke fan ne magar

mili na ek bhi surat tere muqabil ki

ab aankhen band hain taki koi samajh na sake

meri nigah mein taswir hogi qatil ki

dimagh dida o dil sab ne rokna chaha

magar junun ne meri har dalil baatil ki

isi ko kahte hain sahil pe rah ke tishna-labi

talash hai teri mahfil mein jaan-e-mahfil ki

ye baat sach hai ki marna sabhi ko hai lekin

alag hi hoti hai lazzat nigah-e-qatil ki

tha rahbaron pe bharosa to ab bhaTakta hun

mujhe KHabar hi nahin thi fareb-e-manzil ki

miyan 'shahid' ye mana ki tum bhi shaer ho

magar batao ki haq aagahi bhi hasil ki

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now