Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai dil-e-be-qarar chup ho ja

Saghar Siddiqui

ai dil-e-be-qarar chup ho ja

Saghar Siddiqui

ai dil-e-be-qarār chup ho

chukī hai bahār chup ho

ab na ā.eñge rūThne vaale

dīda-e-ashk-bār chup ho

chukā kāravān-e-lāl-o-gul

uḌ rahā hai ġhubār chup ho

chhūT jaatī hai phuul se ḳhushbū

ruuTh jaate haiñ yaar chup ho

ham faqīroñ is zamāne meñ

kaun hai ġham-gusār chup ho

hādsoñ na aañkh khul jaa.e

hasrat-e-sogvār chup ho

giit zarb se bhī ai 'sāġhar'

TuuT jaate haiñ taar chup ho

ai dil-e-be-qarar chup ho ja

ja chuki hai bahaar chup ho ja

ab na aaenge ruThne wale

dida-e-ashk-bar chup ho ja

ja chuka karawan-e-lal-o-gul

uD raha hai ghubar chup ho ja

chhuT jati hai phul se KHushbu

ruTh jate hain yar chup ho ja

hum faqiron ka is zamane mein

kaun hai gham-gusar chup ho ja

hadson ki na aankh khul jae

hasrat-e-sogwar chup ho ja

git ki zarb se bhi ai 'saghar'

TuT jate hain tar chup ho ja

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now