Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

achchhe-KHase log bure ho jate hain

Khalid Ebadi

achchhe-KHase log bure ho jate hain

Khalid Ebadi

MORE BYKhalid Ebadi

    achchhe-ḳhāse log bure ho jaate haiñ

    jāgne dā'vā kar ke so jaate haiñ

    shahr bhī dastūr vahī jangal vaalā

    khojne vaale aksar kho jaate haiñ

    dīvānoñ ghaat meñ baiThne vaale log

    sunte haiñ ik din pāgal ho jaate haiñ

    us galī meñ kar us se uljheñge

    saath agar honā hai ho lo jaate haiñ

    ham jaisoñ ko hairat bhī hotī hogī

    ek idhar aatā hai udhar do jaate haiñ

    himmat haar ga.e to baazī haar ga.e

    lauT bhī ham bhī ghar ko jaate haiñ

    achchhe-KHase log bure ho jate hain

    jagne ka da'wa kar ke so jate hain

    shahr ka bhi dastur wahi jangal wala

    khojne wale hi aksar kho jate hain

    diwanon ki ghat mein baiThne wale log

    sunte hain ek din pagal ho jate hain

    us ki gali mein ja kar us se uljhenge

    sath agar hona hai ho lo jate hain

    hum jaison ko hairat bhi hoti hogi

    ek idhar aata hai udhar do jate hain

    himmat haar gae to bazi haar gae

    lauT ja tu bhi hum bhi ghar ko jate hain

    Source :
    • Book : khush ahjaar (Pg. 37)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now