Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

achchha hua ki ishq mein barbaad ho gae

Wajeeh Sani

achchha hua ki ishq mein barbaad ho gae

Wajeeh Sani

MORE BYWajeeh Sani

    achchhā huā ki ishq meñ barbād ho ga.e

    majbūriyoñ qaid se āzād ho ga.e

    kab tak fareb khāte raheñ qaid meñ raheñ

    ye soch kar asiir se sayyād ho ga.e

    is kaifiyat naam hai kyā sochte haiñ ham

    aur dostoñ zid hai ki farhād ho ga.e

    milne man nahīñ to bahānā nayā tarāsh

    ab to mukālme bhī tire yaad ho ga.e

    bezār bad-mizāj anā-dār bad-lihāz

    aise nahīñ the jaise tere ba.ad ho ga.e

    'sānī' faqat tumhārā likhā jin ḳhutūt par

    vo to kabhī ke zā.ed-ul-mī.ād ho ga.e

    achchha hua ki ishq mein barbaad ho gae

    majburiyon ki qaid se aazad ho gae

    kab tak fareb khate rahen qaid mein rahen

    ye soch kar asir se sayyaad ho gae

    is kaifiyat ka nam hai kya sochte hain hum

    aur doston ki zid hai ki farhad ho gae

    milne ka man nahin to bahana naya tarash

    ab to mukalme bhi tere yaad ho gae

    bezar bad-mizaj ana-dar bad-lihaz

    aise nahin the jaise tere baad ho gae

    'sani' faqat tumhaara likha jin KHutut par

    wo to kabhi ke zaed-ul-miad ho gae

    Source :
    • Book : Mohabbat Rasty me.n hai (Pg. 130)
    • Author : Wajih Sani
    • Publication : Samiya Publication (2016)
    • Edition : 2016
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now