Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

abhi to aap hi hail hai rasta shab ka

Abhishek Shukla

abhi to aap hi hail hai rasta shab ka

Abhishek Shukla

abhī to aap haa.il hai rāstā shab

qarīb aa.e to dekheñge hausla shab

chalī to aa.ī thī kuchh duur saath saath mire

phir is ke ba.ad ḳhudā jaane kyā huā shab

mire ḳhayāl ke vahshat-kade meñ aate

junūñ nok se phūTā hai aabla shab

sahar pahlī kiran ne use bikher diyā

mujhe sameTne aayā thā jab ḳhudā shab

zamīñ pe aa ke sitāroñ ne ye kahā mujh se

tire qarīb se guzrā hai qāfila shab

sahar lams mirī zindagī baḌhā detā

magar garāñ thā bahut mujh pe kāTnā shab

kabhī kabhī to ye vahshat bhī ham pe guzrī hai

ki dil ke saath dekhā hai Dūbnā shab

chaTaḳh uThī hai rag-e-jāñ to ye ḳhayāl aayā

kisī yaad se juḌtā hai silsila shab

abhi to aap hi hail hai rasta shab ka

qarib aae to dekhenge hausla shab ka

chali to aai thi kuchh dur sath sath mere

phir is ke baad KHuda jaane kya hua shab ka

mere KHayal ke wahshat-kade mein aate hi

junun ki nok se phuTa hai aabla shab ka

sahar ki pahli kiran ne use bikher diya

mujhe sameTne aaya tha jab KHuda shab ka

zamin pe aa ke sitaron ne ye kaha mujh se

tere qarib se guzra hai qafila shab ka

sahar ka lams meri zindagi baDha deta

magar garan tha bahut mujh pe kaTna shab ka

kabhi kabhi to ye wahshat bhi hum pe guzri hai

ki dil ke sath hi dekha hai Dubna shab ka

chaTaKH uThi hai rag-e-jaan to ye KHayal aaya

kisi ki yaad se juDta hai silsila shab ka

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now