Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab na kije KHwahish-e-barg-o-samar ki justuju

Khan Rizwan

ab na kije KHwahish-e-barg-o-samar ki justuju

Khan Rizwan

ab na kiije ḳhvāhish-e-barg-o-samar justujū

chhoḌiye kashtī banāne ke hunar justujū

umr-e-rafta kisī dīvār ke saa.e meñ baiTh

be-sabab ḳhvāhisheñ haiñ aur ghar justujū

be-gharī ke daur-e-pur-āshob meñ bhī jaane kyoñ

hai sabhī ke dil meñ bas dīvār-o-dar justujū

qurbatoñ ke saath jiine hunar aaya na phir

ab kahāñ mujh ko kisī bhī ham-safar justujū

ek lamhe ko bhī hāsil hai sukūn-e-dil kahāñ

phir bhī dil ko hai mire shāḳh-e-shajar justujū

ab shikasta ḳhvāb palkoñ par nahīñ aate mirī

mujh ko bhī 'rizvāñ' nahīñ ab chashm-e-tar justujū

ab na kije KHwahish-e-barg-o-samar ki justuju

chhoDiye kashti banane ke hunar ki justuju

umr-e-rafta ja kisi diwar ke sae mein baiTh

be-sabab ki KHwahishen hain aur ghar ki justuju

be-ghari ke daur-e-pur-ashob mein bhi jaane kyon

hai sabhi ke dil mein bas diwar-o-dar ki justuju

qurbaton ke sath jine ka hunar aaya na phir

ab kahan mujh ko kisi bhi ham-safar ki justuju

ek lamhe ko bhi hasil hai sukun-e-dil kahan

phir bhi dil ko hai mere shaKH-e-shajar ki justuju

ab shikasta KHwab palkon par nahin aate meri

mujh ko bhi 'rizwan' nahin ab chashm-e-tar ki justuju

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now