Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aankh mein aansu ka aur dil mein lahu ka kal hai

Akbar Hyderabadi

aankh mein aansu ka aur dil mein lahu ka kal hai

Akbar Hyderabadi

aañkh meñ aañsū aur dil meñ lahū kaal hai

hai tamannā vahī jo zindagī haal hai

yuuñ dhuāñ dene lagā hai jism aur jaañ alaao

jaise rag rag meñ ravāñ ik ātish-e-sayyāl hai

phailte jaate haiñ dām-e-nārasī ke dā.ere

tere mere darmiyāñ kin hādsoñ jaal hai

ghir ga.ī hai do zamānoñ kashākash meñ hayāt

ik taraf zanjīr-e-māzī ek jānib haal hai

hijr rāhoñ se 'akbar' manzil-e-dīdār tak

yuuñ hai jaise darmiyāñ ik raushnī saal hai

aankh mein aansu ka aur dil mein lahu ka kal hai

hai tamanna ka wahi jo zindagi ka haal hai

yun dhuan dene laga hai jism aur jaan ka alao

jaise rag rag mein rawan ek aatish-e-sayyal hai

phailte jate hain dam-e-narasi ke daere

tere mere darmiyan kin hadson ka jal hai

ghir gai hai do zamanon ki kashakash mein hayat

ek taraf zanjir-e-mazi ek jaanib haal hai

hijr ki rahon se 'akbar' manzil-e-didar tak

yun hai jaise darmiyan ek raushni ka sal hai

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

aankh mein aansu ka aur dil mein lahu ka kal hai Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now