Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaina tumhaare naqsh-e-pa ka

Hasan Barelvi

aaina tumhaare naqsh-e-pa ka

Hasan Barelvi

ā.īna tumhāre naqsh-e-pā

ḳhurshīd ko de sabaq jilā

o vasl meñ muñh chhupāne vaale

ye bhī koī vaqt hai hayā

jab aañkh khulī to be-ḳhudoñ se

parda thā jamāl-e-ḳhud-numā

dil aur vo but zahe muqaddar

zulm aur ye dil ġhazab ḳhudā

baiThe haiñ mujh se duur uTh kar

kyā paas kiyā hai iltijā

bole vo 'hasan' ḳhuun mal kar

kyā shoḳh hai rañg is hinā

aaina tumhaare naqsh-e-pa ka

KHurshid ko de sabaq jila ka

o wasl mein munh chhupane wale

ye bhi koi waqt hai haya ka

jab aankh khuli to be-KHudon se

parda tha jamal-e-KHud-numa ka

dil aur wo but zahe muqaddar

zulm aur ye dil ghazab KHuda ka

ja baiThe hain mujh se dur uTh kar

kya pas kiya hai iltija ka

bole wo 'hasan' ka KHun mal kar

kya shoKH hai rang is hina ka

Source :
  • Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 130)
  • Author : Hasrat Mohani
  • Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
  • Edition : 1983
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now