Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aah-e-jaan-soz ki mahrumi-e-tasir na dekh

Majrooh Sultanpuri

aah-e-jaan-soz ki mahrumi-e-tasir na dekh

Majrooh Sultanpuri

āh-e-jāñ-soz mahrūmi-e-tāsīr na dekh

ho jā.egī koī jiine tadbīr na dekh

hādse aur bhī guzre tirī ulfat ke sivā

haañ mujhe dekh mujhe ab merī tasvīr na dekh

ye zarā duur pe manzil ye ujālā ye sukūñ

ḳhvāb ko dekh abhī ḳhvāb tābīr na dekh

dekh zindāñ se pare rañg-e-chaman josh-e-bahār

raqs karnā hai to phir paañv zanjīr na dekh

kuchh bhī huuñ phir bhī dukhe dil sadā huuñ nādāñ

merī bātoñ ko samajh talḳhi-e-taqrīr na dekh

vahī 'majrūh' vahī shā.ir-e-āvāra-mizāj

koī uTThā hai tirī bazm se dil-gīr na dekh

aah-e-jaan-soz ki mahrumi-e-tasir na dekh

ho hi jaegi koi jine ki tadbir na dekh

hadse aur bhi guzre teri ulfat ke siwa

han mujhe dekh mujhe ab meri taswir na dekh

ye zara dur pe manzil ye ujala ye sukun

KHwab ko dekh abhi KHwab ki tabir na dekh

dekh zindan se pare rang-e-chaman josh-e-bahaar

raqs karna hai to phir panw ki zanjir na dekh

kuchh bhi hun phir bhi dukhe dil ki sada hun nadan

meri baaton ko samajh talKHi-e-taqrir na dekh

wahi 'majruh' wahi shair-e-awara-mizaj

koi uTTha hai teri bazm se dil-gir na dekh

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Majrooh Sultanpuri

Majrooh Sultanpuri

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

aah-e-jaan-soz ki mahrumi-e-tasir na dekh Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now