Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aag hai aag teri tegh-e-ada ka pani

Josh Malsiani

aag hai aag teri tegh-e-ada ka pani

Josh Malsiani

aag hai aag tirī teġh-e-adā paanī

aise paanī ko maiñ hargiz na kahūñgā paanī

na rahe aañkh meñ bhī dil se nikal kar aañsū

jā-ba-jā un ko liye phirtā hai daanā paanī

haal pūchho na mire girya-e-ġham mujh se

us ke kahne se bhī hotā hai kalejā paanī

soz-e-ġham se mirī aañkh meñ aañsū aa.e

sochtā huuñ ki ise aag kahūñ paanī

tark-e-mai-ḳhāna gavārā na karūñgā hargiz

raas hai merī tabī.at ko yahāñ paanī

kar diyā sab ko tire tīr-e-nazar ne sairāb

jis ke siine pe lagā us ne na māñgā paanī

aish dam bhar bhī dekhā nahīñ jaatā us se

charḳh-e-kam-baḳht āñkhoñ meñ na utrā paanī

tere jalve se hai bāġh-e-tamannā bahār

yahī tanvīr hai ā.īna-dil paanī

ḳhalish-e-ġham se kiye jā.ūñ kahāñ tak naale

merī qismat meñ to har roz ye iizā paanī

Duub jaate haiñ umīdoñ ke safīne is meñ

maiñ na mānūñgā ki aañsū hai zarā paanī

zabt-e-girya se baḌhī aur musībat ai 'josh'

dil ye kahtā hai ki ab sar se hai ūñchā paanī

aag hai aag teri tegh-e-ada ka pani

aise pani ko main hargiz na kahunga pani

na rahe aankh mein bhi dil se nikal kar aansu

ja-ba-ja un ko liye phirta hai dana pani

haal puchho na mere girya-e-gham ka mujh se

us ke kahne se bhi hota hai kaleja pani

soz-e-gham hi se meri aankh mein aansu aae

sochta hun ki ise aag kahun ya pani

tark-e-mai-KHana gawara na karunga hargiz

ras hai meri tabiat ko yahan ka pani

kar diya sab ko tere tir-e-nazar ne sairab

jis ke sine pe laga us ne na manga pani

aish dam bhar ka bhi dekha nahin jata us se

charKH-e-kam-baKHt ki aankhon mein na utra pani

tere hi jalwe se hai bagh-e-tamanna ki bahaar

yahi tanwir hai aaina-dil ka pani

KHalish-e-gham se kiye jaun kahan tak nale

meri qismat mein to har roz ye iza pani

Dub jate hain umidon ke safine is mein

main na manunga ki aansu hai zara sa pani

zabt-e-girya se baDhi aur musibat ai 'josh'

dil ye kahta hai ki ab sar se hai uncha pani

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now