Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aa ke sajjada-nashin qais hua mere baad

Munawar Khan Ghafil

aa ke sajjada-nashin qais hua mere baad

Munawar Khan Ghafil

aa ke sajjāda-nashīñ qais huā mere ba.ad

na rahī dasht meñ ḳhālī koī mere ba.ad

miyān meñ us ne jo teġh-e-jafā mere ba.ad

ḳhūñ-girafta koī kyā aur na thā mere ba.ad

dostī bhī tujhe paas na aayā he he

ne dushman se kiyā merā gilā mere ba.ad

garm-bāzārī-e-ulfat hai mujhī se varna

koī lene nahīñ nām-e-vafā mere ba.ad

muñh pe le dāman-e-gul ro.eñge murġhān-e-chaman

baaġh meñ ḳhaak uḌā.egī sabā mere ba.ad

chaak isī ġham se garebān kiyā hai maiñ ne

kaun kholegā tire band-e-qabā mere ba.ad

ab to hañs hañs ke lagātā hai vo mehñdī lekin

ḳhuun rulā degā use rañg-e-hinā mere ba.ad

maiñ to gulzār se dil-tañg chalā ġhuncha-ravish

mujh ko kyā phir jo koī phuul khilā mere ba.ad

vo havā-ḳhvāh-e-chaman huuñ ki chaman meñ har sub.h

pahle maiñ jaatā thā aur bād-e-sabā mere ba.ad

sun ke marne ḳhabar yaar mire ghar aayā

ya.anī maqbūl huī merī vafā mere ba.ad

zab.h kar ke mujhe nādim ye huā vo qātil

haath meñ phir kabhī ḳhanjar na liyā mere ba.ad

merī zamzama-sanjī se chaman thā ābād

kiyā sayyād ne ik ik ko rihā mere ba.ad

aa gayā biich meñ us zulf ik maiñ nādāñ

na huā koī giraftār-e-balā mere ba.ad

qatl to karte ho par ḳhuub pachhtāoge

mujh milne nahīñ ahl-e-vafā mere ba.ad

barg-e-gul laa.ī sabā qabr pe merī na nasīm

phir ga.ī aisī zamāne huā mere ba.ad

gir paḌe aañkh se us bhī yakāyak aañsū

zikr mahfil meñ jo kuchh merā huā mere ba.ad

zer-e-shamshīr yahī soch hai maqtal meñ mujhe

dekhiye ab kise laatī hai qazā mere ba.ad

shart-e-yārī yahī hotī hai ki ne 'ġhāfil'

bhuul kar bhī na mujhe yaad kiyā mere ba.ad

aa ke sajjada-nashin qais hua mere baad

na rahi dasht mein KHali koi ja mere baad

miyan mein us ne jo ki tegh-e-jafa mere baad

KHun-girafta koi kya aur na tha mere baad

dosti ka bhi tujhe pas na aaya he he

tu ne dushman se kiya mera gila mere baad

garm-bazari-e-ulfat hai mujhi se warna

koi lene ka nahin nam-e-wafa mere baad

munh pe le daman-e-gul roenge murghan-e-chaman

bagh mein KHak uDaegi saba mere baad

chaak isi gham se gareban kiya hai main ne

kaun kholega tere band-e-qaba mere baad

ab to hans hans ke lagata hai wo mehndi lekin

KHun rula dega use rang-e-hina mere baad

main to gulzar se dil-tang chala ghuncha-rawish

mujh ko kya phir jo koi phul khila mere baad

wo hawa-KHwah-e-chaman hun ki chaman mein har subh

pahle main jata tha aur baad-e-saba mere baad

sun ke marne ki KHabar yar mere ghar aaya

yani maqbul hui meri wafa mere baad

zabh kar ke mujhe nadim ye hua wo qatil

hath mein phir kabhi KHanjar na liya mere baad

meri hi zamzama-sanji se chaman tha aabaad

kiya sayyaad ne ek ek ko riha mere baad

aa gaya bich mein us zulf ki ek main nadan

na hua koi giraftar-e-bala mere baad

qatl to karte ho par KHub hi pachhtaoge

mujh sa milne ka nahin ahl-e-wafa mere baad

barg-e-gul lai saba qabr pe meri na nasim

phir gai aisi zamane ki hua mere baad

gir paDe aankh se us ki bhi yakayak aansu

zikr mahfil mein jo kuchh mera hua mere baad

zer-e-shamshir yahi soch hai maqtal mein mujhe

dekhiye ab kise lati hai qaza mere baad

shart-e-yari yahi hoti hai ki tu ne 'ghafil'

bhul kar bhi na mujhe yaad kiya mere baad

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Mehdi Hasan

Mehdi Hasan

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now