barf aur aag
kuchh log ye kahte hai.n
duniyaa aag me.n jal jaa.egii
kuchh duusre kahte hai.n
duniyaa barf me.n dab jaa.egii
mai.n ki jis ne
har KHvaahish kaa maza chakhaa hai
mai.n un me.n huu.n
aag ke haq me.n jo ho.nge
lekin agar dubaara
kabhii fanaa honaa ho
mujh me.n itnii nafrat hai mai.n kah saktaa huu.n
sab kuchh KHaakistar karne ko
sach hai barf bhii kaafii hogii
kuchh log ye kahte hai.n
duniyaa aag me.n jal jaa.egii
kuchh duusre kahte hai.n
duniyaa barf me.n dab jaa.egii
mai.n ki jis ne
har KHvaahish kaa maza chakhaa hai
mai.n un me.n huu.n
aag ke haq me.n jo ho.nge
lekin agar dubaara
kabhii fanaa honaa ho
mujh me.n itnii nafrat hai mai.n kah saktaa huu.n
sab kuchh KHaakistar karne ko
sach hai barf bhii kaafii hogii
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.