din-ba-din rishtoñ kī zanjīreñ jakaḌtī jā.eñgī
rafta-rafta ghar merā zindān ho jā.egā kyā
din-ba-din rishton ki zanjiren jakaDti jaengi
rafta-rafta ghar mera zindan ho jaega kya
-
Tags : Qaidand 1 more
ab is se aage ḳhudā jaane kab bikhar jā.ūñ
yahāñ talak to bahut ban sañvar ke aayā huuñ
ab is se aage KHuda jaane kab bikhar jaun
yahan talak to bahut ban sanwar ke aaya hun
-
Tag : Saj-dhaj
hameñ ye Dar thā ki uktā na jaa.eñ kuchh din meñ
so qist-vār mohabbat kī ek dam nahīñ kī
hamein ye Dar tha ki ukta na jaen kuchh din mein
so qist-war mohabbat ki ek dam nahin ki
-
Tag : Ishq