Meem Maroof Ashraf
Ghazal 6
Nazm 1
Sher-o-Shayari 39
abhī āġhāz-e-ulfat hai chalo ik kaam karte haiñ
bichhaḌ kar dekh lete haiñ bichhaḌ kar kaisā lagtā hai
abhi aaghaz-e-ulfat hai chalo ek kaam karte hain
bichhaD kar dekh lete hain bichhaD kar kaisa lagta hai
- Add to favorites
-
Share this
bint-e-havvā ko bhuul jaa.eñ ham
ye nahīñ aatā ibn-e-ādam ko
bint-e-hawwa ko bhul jaen hum
ye nahin aata ibn-e-adam ko
- Add to favorites
-
Share this
aaj tasvīr us kī dekhī hai
aaj phir niiñd kā ziyāñ hogā
aaj taswir us ki dekhi hai
aaj phir nind ka ziyan hoga
- Add to favorites
-
Share this
kisī ke yaad karne kā agar hotī sabab hichkī
mirā mahbūb ho kar ke pareshāñ mar gayā hotā
kisi ke yaad karne ka agar hoti sabab hichki
mera mahbub ho kar ke pareshan mar gaya hota
- Add to favorites
-
Share this
jab bhī chūmā hai tire hoñToñ ko
jism se un ko judā jaanā hai
jab bhi chuma hai tere honTon ko
jism se un ko juda jaana hai
- Add to favorites
-
Share this