ALL
Profile
Ghazal47
Nazm31
Sher46
E-book368
TOP 20 SHAYARI 20
Image Shayari10
Audio8
Video51
Marsiya2
Qita2
Rubai35
Qisse18
Gallery 3
Blog1
TOP 20 SHAYARI of Josh Malihabadi
dil kī choToñ ne kabhī chain se rahne na diyā
jab chalī sard havā maiñ ne tujhe yaad kiyā
dil ki choTon ne kabhi chain se rahne na diya
jab chali sard hawa main ne tujhe yaad kiya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
had hai apnī taraf nahīñ maiñ bhī
aur un kī taraf ḳhudā.ī hai
had hai apni taraf nahin main bhi
aur un ki taraf KHudai hai
mere rone kā jis meñ qissa hai
umr kā behtarīn hissa hai
mere rone ka jis mein qissa hai
umr ka behtarin hissa hai
mujh ko to hosh nahīñ tum ko ḳhabar ho shāyad
log kahte haiñ ki tum ne mujhe barbād kiyā
mujh ko to hosh nahin tum ko KHabar ho shayad
log kahte hain ki tum ne mujhe barbaad kiya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kisī kā ahd-e-javānī meñ pārsā honā
qasam ḳhudā kī ye tauhīn hai javānī kī
kisi ka ahd-e-jawani mein parsa hona
qasam KHuda ki ye tauhin hai jawani ki
tabassum kī sazā kitnī kaḌī hai
guloñ ko khil ke murjhānā paḌā hai
tabassum ki saza kitni kaDi hai
gulon ko khil ke murjhana paDa hai
insān ke lahū ko piyo izn-e-ām hai
añgūr kī sharāb kā piinā harām hai
insan ke lahu ko piyo izn-e-am hai
angur ki sharab ka pina haram hai
vahāñ se hai mirī himmat kī ibtidā vallāh
jo intihā hai tire sabr āzmāne kī
wahan se hai meri himmat ki ibtida wallah
jo intiha hai tere sabr aazmane ki
aaḌe aayā na koī mushkil meñ
mashvare de ke haT ga.e ahbāb
aaDe aaya na koi mushkil mein
mashware de ke haT gae ahbab
kaam hai merā taġhayyur naam hai merā shabāb
merā na.ara inqilāb o inqilāb o inqilāb
kaam hai mera taghayyur nam hai mera shabab
mera nara inqilab o inqilab o inqilab
subūt hai ye mohabbat kī sāda-lauhī kā
jab us ne va.ada kiyā ham ne e'tibār kiyā
subut hai ye mohabbat ki sada-lauhi ka
jab us ne wada kiya hum ne e'tibar kiya
is dil meñ tire husn kī vo jalvagarī hai
jo dekhe hai kahtā hai ki shīshe meñ parī hai
is dil mein tere husn ki wo jalwagari hai
jo dekhe hai kahta hai ki shishe mein pari hai
is kā ronā nahīñ kyuuñ tum ne kiyā dil barbād
is kā ġham hai ki bahut der meñ barbād kiyā
is ka rona nahin kyun tum ne kiya dil barbaad
is ka gham hai ki bahut der mein barbaad kiya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vo kareñ bhī to kin alfāz meñ terā shikva
jin ko terī nigah-e-lutf ne barbād kiyā
wo karen bhi to kin alfaz mein tera shikwa
jin ko teri nigah-e-lutf ne barbaad kiya
-
Tag : Shikwa
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ham aise ahl-e-nazar ko subūt-e-haq ke liye
agar rasūl na hote to sub.h kaafī thī
hum aise ahl-e-nazar ko subut-e-haq ke liye
agar rasul na hote to subh kafi thi
soz-e-ġham de ke mujhe us ne ye irshād kiyā
jā tujhe kashmakash-e-dahr se āzād kiyā
soz-e-gham de ke mujhe us ne ye irshad kiya
ja tujhe kashmakash-e-dahr se aazad kiya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ab tak na ḳhabar thī mujhe ujḌe hue ghar kī
vo aa.e to ghar be-sar-o-sāmāñ nazar aayā
ab tak na KHabar thi mujhe ujDe hue ghar ki
wo aae to ghar be-sar-o-saman nazar aaya
itnā mānūs huuñ fitrat se kalī jab chaTkī
jhuk ke maiñ ne ye kahā mujh se kuchh irshād kiyā?
itna manus hun fitrat se kali jab chaTki
jhuk ke main ne ye kaha mujh se kuchh irshad kiya?
jitne gadā-navāz the kab ke guzar chuke
ab kyuuñ bichhā.e baiThe haiñ ham boriyā na pūchh
jitne gada-nawaz the kab ke guzar chuke
ab kyun bichhae baiThe hain hum boriya na puchh
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ik na ik zulmat se jab vābasta rahnā hai to 'josh'
zindagī par sāya-e-zulf-e-pareshāñ kyuuñ na ho
ek na ek zulmat se jab wabasta rahna hai to 'josh'
zindagi par saya-e-zulf-e-pareshan kyun na ho
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download