Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo kamra yaad aata hai

Javed Akhtar

wo kamra yaad aata hai

Javed Akhtar

maiñ jab bhī

zindagī chilchilātī dhuup meñ tap kar

maiñ jab bhī

dūsroñ ke aur apne jhuuT se thak kar

maiñ sab se laḌ ke ḳhud se haar ke

jab bhī us ek kamre meñ jaatā thā

vo halke aur gahre kattha.ī rañgoñ ik kamra

vo behad mehrbāñ kamra

jo apnī narm muTThī meñ mujhe aise chhupā letā thā

jaise koī maañ

bachche ko āñchal meñ chhupā le

pyaar se DāñTe

ye kyā aadat hai

jaltī dopahar meñ maare maare ghūmte ho tum

vo kamra yaad aatā hai

dabīz aur ḳhāsā bhārī

kuchh zarā mushkil se khulne vaalā vo shīsham darvāza

ki jaise koī akkhaḌ baap

apne khurdure siine meñ

shafqat ke samundar ko chhupā.e ho

vo kursī

aur us ke saath vo juḌvāñ bahan us

vo donoñ

dost thiiñ merī

vo ik gustāḳh muñh-phaT ā.īna

jo dil achchhā thā

vo be-hañgam almārī

jo kone meñ khaḌī

ik būḌhī annā tarah

ā.īne ko tambīh kartī thī

vo ik gul-dān

nanhā

bahut shaitān

un dinoñ pe hañstā thā

darīcha

zehānat se bharī ik muskurāhaT

aur darīche par jhukī vo bel

koī sabz sargoshī

kitābeñ

taaq meñ aur shelf par

sanjīda ustānī banī baiThīñ

magar sab muntazir is baat

maiñ un se kuchh pūchhūñ

sirhāne

niiñd sāthī

thakan chāra-gar

vo narm-dil takiya

maiñ jis god meñ sar rakh ke

chhat ko dekhtā thā

chhat kaḌiyoñ meñ

na jaane kitne afsānoñ kaḌiyāñ thiiñ

vo chhoTī mez par

aur sāmne dīvār par

āvezāñ tasvīreñ

mujhe apnā.iyat se aur yaqīñ se dekhtī thiiñ

muskurātī thiiñ

unheñ shak bhī nahīñ thā

ek din

maiñ un ko aise chhoḌ jā.ūñgā

maiñ ik din yuuñ bhī jā.ūñgā

ki phir vāpas na ā.ūñgā

maiñ ab jis ghar meñ rahtā huuñ

bahut ḳhūb-sūrat hai

magar aksar yahāñ ḳhāmosh baiThā yaad kartā huuñ

vo kamra baat kartā thā

main jab bhi

zindagi ki chilchilati dhup mein tap kar

main jab bhi

dusron ke aur apne jhuT se thak kar

main sab se laD ke KHud se haar ke

jab bhi us ek kamre mein jata tha

wo halke aur gahre katthai rangon ka ek kamra

wo behad mehrban kamra

jo apni narm muTThi mein mujhe aise chhupa leta tha

jaise koi man

bachche ko aanchal mein chhupa le

pyar se DanTe

ye kya aadat hai

jalti dopahar mein mare mare ghumte ho tum

wo kamra yaad aata hai

dabiz aur KHasa bhaari

kuchh zara mushkil se khulne wala wo shisham ka darwaza

ki jaise koi akkhaD bap

apne khurdure sine mein

shafqat ke samundar ko chhupae ho

wo kursi

aur us ke sath wo juDwan bahan us ki

wo donon

dost thin meri

wo ek gustaKH munh-phaT aaina

jo dil ka achchha tha

wo be-hangam si almari

jo kone mein khaDi

ek buDhi anna ki tarah

aaine ko tambih karti thi

wo ek gul-dan

nanha sa

bahut shaitan

un dinon pe hansta tha

daricha

ya zehanat se bhari ek muskurahaT

aur dariche par jhuki wo bel

koi sabz sargoshi

kitaben

taq mein aur shelf par

sanjida ustani bani baiThin

magar sab muntazir is baat ki

main un se kuchh puchhun

sirhane

nind ka sathi

thakan ka chaara-gar

wo narm-dil takiya

main jis ki god mein sar rakh ke

chhat ko dekhta tha

chhat ki kaDiyon mein

na jaane kitne afsanon ki kaDiyan thin

wo chhoTi mez par

aur samne diwar par

aawezan taswiren

mujhe apnaiyat se aur yaqin se dekhti thin

muskuraati thin

unhen shak bhi nahin tha

ek din

main un ko aise chhoD jaunga

main ek din yun bhi jaunga

ki phir wapas na aaunga

main ab jis ghar mein rahta hun

bahut hi KHub-surat hai

magar aksar yahan KHamosh baiTha yaad karta hun

wo kamra baat karta tha

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now