hazrat firaq
kyuuñ gulshan-e-adab kā har ik phuul hai udaas
kyā koī daaġh de gayā aur le gayā hai baas
chhāyā huā chaman pe hai kyuuñ abr-e-huzn-o-ġham
kaisā ye sāniha hai ki kho baiThe sab havās
thā daur-e-nau kā 'mīr' ḳhud apnā javāb thā
duniyā-e-'ilm-o-fikr kā vo āftāb thā
har anjuman meñ ban ke rahā markaz-e-nigāh
yā'nī 'firāq' ahl-e-suḳhan kī kitāb thā
she'r-o-adab kī shaan thā urdu kī jaan thā
raghupat-sahā.e naam kā insāñ mahān thā
sab qadr-dāñ the us ke ho europe ki asia
shaidā na us kā sirf ye hindostān thā
takte haiñ raah log ye kis ishtiyāq meñ
arbāb-e-fikr rote haiñ kis ke firāq meñ
us kā ye dars yaad bahut aa rahā hai aaj
rāhat bhī hai falāh bhī hai ittifāq meñ
kyun gulshan-e-adab ka har ek phul hai udas
kya koi dagh de gaya aur le gaya hai bas
chhaya hua chaman pe hai kyun abr-e-huzn-o-gham
kaisa ye saniha hai ki kho baiThe sab hawas
tha daur-e-nau ka 'mir' KHud apna jawab tha
duniya-e-'ilm-o-fikr ka wo aaftab tha
har anjuman mein ban ke raha markaz-e-nigah
ya'ni 'firaq' ahl-e-suKHan ki kitab tha
she'r-o-adab ki shan tha urdu ki jaan tha
raghupat-sahae nam ka insan mahan tha
sab qadr-dan the us ke ho europe ki asia
shaida na us ka sirf ye hindostan tha
takte hain rah log ye kis ishtiyaq mein
arbab-e-fikr rote hain kis ke firaq mein
us ka ye dars yaad bahut aa raha hai aaj
rahat bhi hai falah bhi hai ittifaq mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.