Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaghaz

MORE BYKafeel Aazar Amrohvi

    kin ḳhayālāt meñ yuuñ rahtī ho khoī khoī

    chaa.e paanī patīlī meñ ubal jaatā hai

    raakh ko haath lagātī ho to jal jaatā hai

    ek bhī kaam salīqe se nahīñ ho paatā

    ek bhī baat mohabbat se nahīñ kahtī ho

    apnī har ek sahelī se ḳhafā rahtī ho

    raat bhar nāvileñ paḌhtī ho na jaane kis

    ek jampar nahīñ paa.ī ho kitne din se

    bhaa.ī haath bhī ġhusse se jhaTak detī ho

    mez par yuuñ kitāboñ ko paTak detī ho

    kin ḳhayālāt meñ yuuñ rahtī ho khoī khoī

    kin KHayalat mein yun rahti ho khoi khoi

    chae ka pani patili mein ubal jata hai

    rakh ko hath lagati ho to jal jata hai

    ek bhi kaam saliqe se nahin ho pata

    ek bhi baat mohabbat se nahin kahti ho

    apni har ek saheli se KHafa rahti ho

    raat bhar nawilen paDhti ho na jaane kis ki

    ek jampar nahin si pai ho kitne din se

    bhai ka hath bhi ghusse se jhaTak deti ho

    mez par yun hi kitabon ko paTak deti ho

    kin KHayalat mein yun rahti ho khoi khoi

    Source :
    • Book : Dhoop Ka Dareecha (Pg. 144)

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now