pagal-pan
ik parda kaalī maḳhmal kā āñkhoñ par chhāne lagtā hai
ik bhañvar hazāroñ shakloñ kā dil ko dahlāne lagtā hai
ik tez hinā.ī ḳhushbū se har saañs chamakne lagtā hai
ik phuul tilismī rañgoñ kā galiyoñ meñ damakne lagtā hai
sāñpoñ se bhare ik jañgal kī āvāz sunā.ī detī hai
har iiñT makānoñ ke chhajjoñ kī ḳhuun dikhā.ī detī hai
ek parda kali maKHmal ka aankhon par chhane lagta hai
ek bhanwar hazaron shaklon ka dil ko dahlane lagta hai
ek tez hinai KHushbu se har sans chamakne lagta hai
ek phul tilismi rangon ka galiyon mein damakne lagta hai
sanpon se bhare ek jangal ki aawaz sunai deti hai
har inT makanon ke chhajjon ki KHun dikhai deti hai
- Book : kulliyat-e-muniir niyaazii (Pg. 96)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.